jhuuT ka mol
ye duniyaa farebo.n ka mela hai
har jagah yahaa.n banaa jhamelaa hai
farebo.n ke is mele kii har dukaan par
jhuuT aur dhokaa biktaa hai
mai.n jis jis dukaan par ga.ii
sach ko ek puraanii sii almaarii me.n
pa.Daa paayaa
jab mai.n ne us ka daam puuchhaa
dukaan-daar jhaT se bolaa
kyaa kiijiyegaa
itnii sastii chiiz le kar
kab se pa.Dii sa.D rahii hai
ise aaj-kal ko.ii nahii.n KHariidtaa
ek or jo us ne ishaara kiyaa
ye le jaa.iye ye aaj-kal bahut bik rahaa hai
nazar ghumaa kar jo mai.n ne us or dekhaa
chamchamaataa jhuuT shiishe kii almaariyo.n se
jhaa.nk rahaa thaa
ye duniyaa farebo.n ka mela hai
har jagah yahaa.n banaa jhamelaa hai
farebo.n ke is mele kii har dukaan par
jhuuT aur dhokaa biktaa hai
mai.n jis jis dukaan par ga.ii
sach ko ek puraanii sii almaarii me.n
pa.Daa paayaa
jab mai.n ne us ka daam puuchhaa
dukaan-daar jhaT se bolaa
kyaa kiijiyegaa
itnii sastii chiiz le kar
kab se pa.Dii sa.D rahii hai
ise aaj-kal ko.ii nahii.n KHariidtaa
ek or jo us ne ishaara kiyaa
ye le jaa.iye ye aaj-kal bahut bik rahaa hai
nazar ghumaa kar jo mai.n ne us or dekhaa
chamchamaataa jhuuT shiishe kii almaariyo.n se
jhaa.nk rahaa thaa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.