kal
guzre hu.e kal aur
aaj ke baare me.n
ham bahut kuchh kah sakte hai.n
kal ham ek suuraj the
aur aaj mahz ek tufailii chaa.nd
kal ham ek daraKHt the
aur aaj us kii lak.Dii se banii
ek sa.ng-dil kulhaa.Dii
kal ham ek ra.ng-bira.ngii kashtii the
aur aaj samundar kii tah me.n
keka.Do.n aur gho.ngho.n kaa
niim taariik Thikaana
magar is tarah kii baate.n
kyaa is ek baat kii shiddat ko kam kar saktii hai.n
jise ham sun.naa nahii.n chaahte
kal ham ek tavaanaa jism the
aur aaj ek suukhtii hu.ii laash
guzre hu.e kal aur
aaj ke baare me.n
ham bahut kuchh kah sakte hai.n
kal ham ek suuraj the
aur aaj mahz ek tufailii chaa.nd
kal ham ek daraKHt the
aur aaj us kii lak.Dii se banii
ek sa.ng-dil kulhaa.Dii
kal ham ek ra.ng-bira.ngii kashtii the
aur aaj samundar kii tah me.n
keka.Do.n aur gho.ngho.n kaa
niim taariik Thikaana
magar is tarah kii baate.n
kyaa is ek baat kii shiddat ko kam kar saktii hai.n
jise ham sun.naa nahii.n chaahte
kal ham ek tavaanaa jism the
aur aaj ek suukhtii hu.ii laash
- Book : saarii nazmen (Pg. 451)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.