kaun shaa.er rah saktaa hai
lafz apnii jagah se aage nikal jaate hai.n
aur zindagii kaa nizaam to.D dete hai.n
apne jaise lafzo.n kaa gaTh banaa lete hai.n
aur TuuT jaate hai.n
un ke TuuTe hu.e kinaaro.n par
nazme.n marne lagtii hai.n
lafz apnii saaKHt aur taqdiir me.n
kamzor ho jaate hai.n
maamuulii shikast un ko KHatm kar detii hai
un me.n
TuuT kar ju.D jaane se mohabbat nahii.n rah jaatii
in lafzo.n se
bad-suurat aur be-tartiib nazme.n ban.ne lagtii hai.n
saffaakii se kaaT diye jaane ke ba.ad
un kii jagah lene ko
ek aur khep aa jaatii hai
nazmo.n ko mar jaane se bachaane ke liye
har roz un lafzo.n ko judaa karnaa pa.Dtaa hai
aur un jaise lafzo.n ke hamle se pahle
na.e lafz phu.nchaane pa.Dte hai.n
jo aisaa kar saktaa hai
shaa.er rah saktaa hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.