KHudaa kii bandii
tum mujhe ek phuul do
mai.n tumhe.n kaa.nTo.n se bachaa.uu.ngaa
tum mujhe dil do
mai.n tum se apnaa dil nahii.n maa.nguu.ngaa
tum meraa ek daf'a naam lo
mai.n sai.nka.Do.n saa.nse.n luu.ngaa
tum mujhe dekh kar muskuraa.o
mai.n tumhe.n dekh kar nahii.n ro.u.ngaa
tum mujhe ek hausla do
mai.n jiinaa shuruu' karuu.ngaa aur hazaaro.n saal zinda rahuu.ngaa
tum mujh se baat karo
mere kaan jashn manaae.nge
tum mujhe ek baar chhuu lo
mai.n tumhe.n baar baar nahii.n chu.uuu.ngaa
tum merii taraf ek baar pyaar se dekho
mai.n tumhaarii aa.nkho.n par be-shumaar nazme.n likhuu.ngaa
tum mujhe chaa.e par bulaa.o
mai.n tumhe.n tum par likhii ga.ii.n nazme.n sunaa.uu.ngaa
tum mujhe kuchh bose do
mai.n tamaam 'umr tumhe.n pyaar duu.ngaa
ai KHudaa kii bandii
tum ye nazm pa.Dho
mai.n tumhaare liye ek aur nazm likhtaa huu.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.