kyaa aag sab se achchhii KHariidaar hai
lak.Dii ke bane hu.e aadmii
paanii me.n nahii.n Duubte
aur diivaaro.n se Taa.nge jaa sakte hai.n
shaayad unhe.n yaad hotaa hai
ki aaraa kyaa hai
aur daraKHt kise kahte hai.n
har daraKHt me.n lak.Dii ke aadmii nahii.n hote
jis tarah har zamiin ke Tuk.De me.n ko.ii kaar-aamad chiiz nahii.n hotii
jis daraKHt me.n lak.Dii ke aadmii
yaa lak.Dii kii mez
yaa kursii
yaa pala.ng nahii.n hotaa
aaraa banaane vaale use aag ke haath bech dete hai.n
aag sab se achchhii KHariidaar hai
vo apnaa jism mu.aavze me.n de detii hai
magar
aag ke haath giilii lak.Dii nahii.n bechnii chaahiye
giilii lak.Dii dhuup ke haath bechnii chaahiye
chaahe dhuup ke paas dene ko kuchh na ho
lak.Dii ke bane hu.e aadmii ko dhuup se mohabbat karnii chaahiye
dhuup use siidhaa kha.Daa honaa sikhaatii hai
mai.n jis aare se kaaTaa gayaa
vo maqnaatiis kaa thaa
use lak.Dii ke bane hu.e aadmii chalaa rahe the
ye aadmii daraKHt kii shaaKHo.n se banaa.e ga.e the
jab ki mai.n daraKHt ke tane se banaa
mai.n har kamzor aag ko apnii taraf khii.nch saktaa thaa
magar ek baar
ek jahannam mujh se khi.nch gayaa
lak.Dii ke bane hu.e aadmii
paanii me.n bahte hu.e
diivaaro.n par Ta.nge hu.e
aur qataaro.n me.n kha.De hu.e achchhe lagte hai.n
unhe.n kisii aag ko apnii taraf nahii.n khi.nchnaa chaahiye
aag jo ye bhii nahii.n puuchhtii
ki tum lak.Dii ke aadmii ho
yaa mez
yaa kursii
yaa diyaa-salaa.ii

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.