mai.n ne dekhaa
bus kii khi.Dkii se baahar
mai.n ne dekhaa
sa.Dak kinaare lage daraKHt
mujhe yuu.n ghuur rahe the
jaise mai.n ne un ke samar churaa.e ho.n
mai.n ne dekhaa
zinda sa.Dak ek laash kii maanind pa.Dii thii
insaano.n ko murda karne me.n koshaa.n aur mai.n ne dekhaa
KHud ko u.Dtaa hu.aa
jo merii bus se kaafii aage nikal rahaa thaa
shaayad mujhe jaldii pahu.nchnaa thaa
mai.n ne dekhaa
kuchh nazme.n laTak rahii thii.n
duusrii bus ke piichhe
aur mujhe ishaare kar rahii thii.n
magar mai.n un kaa matlab nahii.n samjhaa
mai.n ne dekhaa
ik jagah bahut saare KHayaalaat jam' the
aur un me.n se ek unhe.n
taKHliiq-kaaro.n ke dimaaG me.n ghusne kaa Dhang sikhaa rahaa thaa
mai.n ne dekhe kuchh KHvaab
jo bus kii chhat par mere utarne ke muntazir the
mere kuchh KHvaab mere ham-safar the
mai.n ne dekhaa zindagii ko
jo musalsal raqs-kunaa.n thii
jis ke paa.nv me.n
maut ke ghu.ngruu ba.ndhe hu.e the
aur vo chhan-chhan kii bajaa.e
aah aah kii aavaaz paidaa kar rahe the
aur mai.n ne dekhaa
bahut kuchh
jis kaa zikr mai.n nahii.n kar saktaa
yaa phir karnaa nahii.n chaahtaa
jis kaa mujhe afsos nahii.n rahegaa
haa.n nahii.n rahegaa
bus kii khi.Dkii se baahar
mai.n ne dekhaa
sa.Dak kinaare lage daraKHt
mujhe yuu.n ghuur rahe the
jaise mai.n ne un ke samar churaa.e ho.n
mai.n ne dekhaa
zinda sa.Dak ek laash kii maanind pa.Dii thii
insaano.n ko murda karne me.n koshaa.n aur mai.n ne dekhaa
KHud ko u.Dtaa hu.aa
jo merii bus se kaafii aage nikal rahaa thaa
shaayad mujhe jaldii pahu.nchnaa thaa
mai.n ne dekhaa
kuchh nazme.n laTak rahii thii.n
duusrii bus ke piichhe
aur mujhe ishaare kar rahii thii.n
magar mai.n un kaa matlab nahii.n samjhaa
mai.n ne dekhaa
ik jagah bahut saare KHayaalaat jam' the
aur un me.n se ek unhe.n
taKHliiq-kaaro.n ke dimaaG me.n ghusne kaa Dhang sikhaa rahaa thaa
mai.n ne dekhe kuchh KHvaab
jo bus kii chhat par mere utarne ke muntazir the
mere kuchh KHvaab mere ham-safar the
mai.n ne dekhaa zindagii ko
jo musalsal raqs-kunaa.n thii
jis ke paa.nv me.n
maut ke ghu.ngruu ba.ndhe hu.e the
aur vo chhan-chhan kii bajaa.e
aah aah kii aavaaz paidaa kar rahe the
aur mai.n ne dekhaa
bahut kuchh
jis kaa zikr mai.n nahii.n kar saktaa
yaa phir karnaa nahii.n chaahtaa
jis kaa mujhe afsos nahii.n rahegaa
haa.n nahii.n rahegaa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.