mai.n sochtaa huu.n
mai.n sochtaa huu.n
agar do raaste hote
tum tak jaane ke liye
kisii baaG me.n chahal-qadmii kii tarah
yaKH-basta pahaa.Do.n me.n
safed sura.ngo.n jaise
agar do KHvaab hote
sahmii hu.ii KHaamosh raato.n me.n
jaagne ke liye
sone ke liye
agar do jangal hote
pur-asraar bhaTakne ke liye
yaa duniyaa-daaro.n se kaTne ke liye
agar do parinde hote
mohabbat ke liye
agar do saraab hote
pyaasaa jiine ke liye
pyaasaa marne ke liye
agar do kahaaniyaa.n hotii.n
qadiim chaTTaan par kanda
naa-qaabil-e-fahm nuquush me.n madfuun
yaad karne ke liye
bhuul jaane ke liye
agar do giit hote
mere jiite jii
aaKHirii hichkii lene ke liye
yaa mere baa'd kuchh pal
mujhe rone ke liye
agar do sitaare hote
sub.h-e-kaazib kii dahliiz par
chamakne ke liye
bujhne ke liye
umr guzaar kar
mai.n sochtaa huu.n
ye mumkin nahii.n
is duniyaa kii be-intihaa.ii me.n
do chiize.n nahii.n hotii.n
sivaa.e do tanhaa.iyo.n ke
tuu
aur mai.n
mai.n sochtaa huu.n
agar do raaste hote
tum tak jaane ke liye
kisii baaG me.n chahal-qadmii kii tarah
yaKH-basta pahaa.Do.n me.n
safed sura.ngo.n jaise
agar do KHvaab hote
sahmii hu.ii KHaamosh raato.n me.n
jaagne ke liye
sone ke liye
agar do jangal hote
pur-asraar bhaTakne ke liye
yaa duniyaa-daaro.n se kaTne ke liye
agar do parinde hote
mohabbat ke liye
agar do saraab hote
pyaasaa jiine ke liye
pyaasaa marne ke liye
agar do kahaaniyaa.n hotii.n
qadiim chaTTaan par kanda
naa-qaabil-e-fahm nuquush me.n madfuun
yaad karne ke liye
bhuul jaane ke liye
agar do giit hote
mere jiite jii
aaKHirii hichkii lene ke liye
yaa mere baa'd kuchh pal
mujhe rone ke liye
agar do sitaare hote
sub.h-e-kaazib kii dahliiz par
chamakne ke liye
bujhne ke liye
umr guzaar kar
mai.n sochtaa huu.n
ye mumkin nahii.n
is duniyaa kii be-intihaa.ii me.n
do chiize.n nahii.n hotii.n
sivaa.e do tanhaa.iyo.n ke
tuu
aur mai.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.