Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

maut ke baGair paidaa.ish naa-mukammal hai

Masood Qamar

maut ke baGair paidaa.ish naa-mukammal hai

Masood Qamar

MORE BYMasood Qamar

    mai.n

    KHud ko aa.iine me.n

    nahii.n dekhtaa

    aa.iina merii maut hai

    magar

    diivaar se chaspaa.n

    hone kii vaj.h se

    chalte phirte coffee piite

    holland kii tez beer piite

    kabhii kabhaar

    us pe nazar pa.D jaatii hai

    magar mai.n aa.iine me.n kahii.n nahii.n hotaa

    jab vo

    mere saath baiThii

    irish coffee pii rahii hotii hai

    to

    mai.n KHud ko

    saare kaa saaraa

    us ke andar dikhaa.ii detaa huu.n

    kyaa yeh aa.iina nahii.n

    aa.iine ke andar merii maut

    us ke andar merii zindagii

    maut ke baGair paidaa.ish

    naa-mukammal hai

    mujhe

    KHud ko aa.iine me.n

    dekhte rahnaa chaahiye

    mai.n

    KHud ko aa.iine me.n

    nahii.n dekhtaa

    aa.iina merii maut hai

    magar

    diivaar se chaspaa.n

    hone kii vaj.h se

    chalte phirte coffee piite

    holland kii tez beer piite

    kabhii kabhaar

    us pe nazar pa.D jaatii hai

    magar mai.n aa.iine me.n kahii.n nahii.n hotaa

    jab vo

    mere saath baiThii

    irish coffee pii rahii hotii hai

    to

    mai.n KHud ko

    saare kaa saaraa

    us ke andar dikhaa.ii detaa huu.n

    kyaa yeh aa.iina nahii.n

    aa.iine ke andar merii maut

    us ke andar merii zindagii

    maut ke baGair paidaa.ish

    naa-mukammal hai

    mujhe

    KHud ko aa.iine me.n

    dekhte rahnaa chaahiye

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now