bharosa
har rishte kii jaan hai
aur jaan to jaane kab kii nikal chukii hai
ab ye rasmii baate.n
aur party kii mulaaqaate.n
ek life support system hai
jin ke sahaare rishte ke laashe me.n chand saa.nse.n ab bhii bahtii hai.n
achchhaa hogaa
masnuu'ii saa.nso.n kii mashiino.n kaa plug
aur ek sachche jazbe ko
baa-‘izzat taur pe mar jaane de.n
bharosa
har rishte kii jaan hai
aur jaan to jaane kab kii nikal chukii hai
ab ye rasmii baate.n
aur party kii mulaaqaate.n
ek life support system hai
jin ke sahaare rishte ke laashe me.n chand saa.nse.n ab bhii bahtii hai.n
achchhaa hogaa
masnuu'ii saa.nso.n kii mashiino.n kaa plug
aur ek sachche jazbe ko
baa-‘izzat taur pe mar jaane de.n
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.