mohabbat
mohabbat ko.ii numaayaa.n nishaan nahii.n
jis se laash kii shanaaKHt me.n aasaanii ho
jab tak tum mohabbat ko daryaaft kar sako
vo van ravaana ho chukii hogii
jo un laasho.n ko le jaatii hai
jin par kisii kaa da.avaa nahii.n
shaayad vo raaste me.n
tumhaarii savaarii ke baraabar se guzrii ho
yaa shaayad tum us raaste se nahii.n aa.ii.n
jis se
mohabbat me.n maare jaane vaale le jaa.e jaate hai.n
shaayad vo vaqt
jis me.n mohabbat ko daryaaft kiyaa jaa saktaa
tum ne kisii jabrii mashq ko de diyaa
patthar kii sil par liTaayaa hu.aa vaqt
aur intizaar kii aaKHirii had tak khii.nchii hu.ii
safed chaadar
tumhaarii mashq KHatm hone se pahle tabdiil ho ga.e
shaayad tumhaare paas
ittifaaqiya ruKHsat ke liye ko.ii din
aur mohabbat kii shanaaKHt ke liye
ko.ii KHvaab nahii.n thaa
us vaqt tak jab tum
mohabbat ko apne haatho.n se chhuu kar dekh saktii.n
vo van ravaana ho chukii hogii
jo un KHvaabo.n ko le jaatii hai
jin par kisii ko da.avaa nahii.n

- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 28)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.