Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

outsider

Qamar Abbas Alvi

outsider

Qamar Abbas Alvi

MORE BYQamar Abbas Alvi

    shahr me.n ajnabii honaa bhii ek ne'mat hai

    aap dono.n baazuu uThaa kar parindo.n ko hushkaar sakte hai.n

    chhat par kap.De sukhaane aa.ii pa.Dosan ke saath aa.nkhe.n chaar kar sakte hai.n

    kamre kii khi.Dkii se daaKHil hotii december kii dhuup shirt ke button khol kar taap sakte hai.n

    shahr kii tang-o-taariik galiyo.n me.n binaa mask lagaa.e ghuum sakte hai.n

    cafe me.n girl-friend ke saath coffee ke sip lete us ke kandhe par jhuum sakte hai.n

    restaurant me.n khaanaa khaate muft-KHor hazraat se KHud ko mahfuuz rakh sakte hai.n

    lunDe kii dukaan se sastii shopping kar sakte hai.n

    na.e shahr na.ii duniyaa.e.n hai.n

    sab chhate.n aur sab darvaaze ek se mazbuut aur dilkash lagte hai.n

    jin ke andar jhaa.nkaa nahii.n jaa saktaa

    siidh me.n chalte raste pur-asraar tariiqo.n se ghuum jaate hai.n

    itnii sur’at se ki samt kaa ta'ayyun tak nahii.n hotaa

    chiiKHtii bhii.D aur bhaagtii gaa.Diyo.n kaa shor nii.nd chhiin letaa hai

    binaa dastak hu.e darvaaza bajne kaa ehsaas rahtaa hai

    agarche ko.ii aane vaalaa bhii na ho

    shahr sab na.e hote hai.n na.e aane vaalo.n ke liye

    aur rafta rafta apnaa nayaa-pan kho dete hai.n

    anjaan raahe.n maa'ruuf shahraaho.n aur gunjaan chauraaho.n me.n badal jaatii hai.n

    phir ek din sab dekhaa an-dekhaa ho jaataa

    ye faraamoshii kii taraf pahlaa qadam hotaa hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now