Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raqs

MORE BYQasim Hayat

    is se kyaa farq pa.Dtaa hai

    dabiiz kohre kaa ghuu.nghaT o.Dhii raato.n me.n

    traffic se ladii sa.Dko.n ke fooTpaatho.n par

    tum kitnaa tanhaa paidal chalte ho

    is se kyaa farq pa.Dtaa hai

    sone se pahle tum modern theory pa.Dhte ho

    ko.ii sahiifa yaa asaatiir

    sub.h uTh kar tum music sunte ho

    yaa un marne vaalo.n kii yaad me.n KHaamosh rahte ho

    jin ke vaariso.n aur qaatilo.n kaa kisii ko 'ilm nahii.n

    is se kyaa farq pa.Dtaa hai

    tum apnii maa.n ko kitne pyaare ho

    aur us ne kitnii muddat se tumhe.n nahii.n dekhaa

    is se kyaa farq pa.Dtaa hai

    tumhaarii mahbuuba kitnii shiddat se intizaar kartii hai

    tumhe.n baa.nho.n me.n lene kaa

    aur us bose kaa

    jo sard peshaanii me.n haraarat bhar detaa hai

    is se kyaa farq pa.Dtaa hai

    tum jitne din khaanaa nahii.n khaate

    hostel kii billii bhuukii sotii hai

    is se kyaa farq pa.Dtaa hai

    tum bistar pe maro

    raaste me.n yaa jang ke maidaan me.n

    talvaar ne tumhaaraa siina chhed diyaa hai yaa piiTh

    tum ne KHudaa ke naam par jaan dii hai

    shahzaadii ke 'ishq me.n yaa miTTii kii mohabbat me.n

    is se kyaa farq pa.Dtaa hai

    tum the ho yaa nahii.n ho

    tum ne jiine kii kitnii rehearsal kii

    aur KHushii kaa kitnaa naaTak

    to aa.o

    faraamosh karte hai.n is sab ko

    aur haath thaamte hai.n us raqqaasa kaa

    jo naachtii hai sarmadii dhuno.n par

    aur raqs karte hai.n apne hone kaa

    is se kyaa farq pa.Dtaa hai

    dabiiz kohre kaa ghuu.nghaT o.Dhii raato.n me.n

    traffic se ladii sa.Dko.n ke fooTpaatho.n par

    tum kitnaa tanhaa paidal chalte ho

    is se kyaa farq pa.Dtaa hai

    sone se pahle tum modern theory pa.Dhte ho

    ko.ii sahiifa yaa asaatiir

    sub.h uTh kar tum music sunte ho

    yaa un marne vaalo.n kii yaad me.n KHaamosh rahte ho

    jin ke vaariso.n aur qaatilo.n kaa kisii ko 'ilm nahii.n

    is se kyaa farq pa.Dtaa hai

    tum apnii maa.n ko kitne pyaare ho

    aur us ne kitnii muddat se tumhe.n nahii.n dekhaa

    is se kyaa farq pa.Dtaa hai

    tumhaarii mahbuuba kitnii shiddat se intizaar kartii hai

    tumhe.n baa.nho.n me.n lene kaa

    aur us bose kaa

    jo sard peshaanii me.n haraarat bhar detaa hai

    is se kyaa farq pa.Dtaa hai

    tum jitne din khaanaa nahii.n khaate

    hostel kii billii bhuukii sotii hai

    is se kyaa farq pa.Dtaa hai

    tum bistar pe maro

    raaste me.n yaa jang ke maidaan me.n

    talvaar ne tumhaaraa siina chhed diyaa hai yaa piiTh

    tum ne KHudaa ke naam par jaan dii hai

    shahzaadii ke 'ishq me.n yaa miTTii kii mohabbat me.n

    is se kyaa farq pa.Dtaa hai

    tum the ho yaa nahii.n ho

    tum ne jiine kii kitnii rehearsal kii

    aur KHushii kaa kitnaa naaTak

    to aa.o

    faraamosh karte hai.n is sab ko

    aur haath thaamte hai.n us raqqaasa kaa

    jo naachtii hai sarmadii dhuno.n par

    aur raqs karte hai.n apne hone kaa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now