rukne aur chalne ke darmiyaan
din la.Dkha.Daataa hai
duniyaa apne sukuut me.n Dagmagaatii hai
har shai qaabil-e-diid
magar gurezaa.n hai
sab kuchh nazdiik hai
magar naa-mumkin
kitaab aa.iina kap.De
pi.njra aur parinda
apne naamo.n ke saa.e me.n
be-harkat
vaqt dha.Daktaa hai
mere siine me.n
lahuu kii na badalne vaalii
aazurda taal par
dhuup-chhaa.nv se be-niyaaz diivaar
mabnii-bar-vahm tasviiro.n ke timsaal ghar
me.n badal jaatii hai
mai.n KHud ko apnii zaat par pahra detii
aa.nkh ke markaz me.n chhupaataa huu.n
mai.n simaTtaa huu.n
mai.n bikhartaa huu.n
mai.n faqat ek vaqfa huu.n
rukne aur chalne ke darmiyaan
jiine aur marne ke darmiyaan
mai.n ek aahaT huu.n
naa-qaabil-e-shuniid
mahiin pal ke liye
raat ba-zaahir be-kanaar hai
phir bhii mai.n sar ko uThaataa huu.n
aasmaan par sitaaro.n kii maKHfii tahriir
achaanak mujh par muskuraatii hai
aur anjaane me.n
mai.n jaan jaataa huu.n
ki mujhe likhaa gayaa
miTne ke liye
din la.Dkha.Daataa hai
duniyaa apne sukuut me.n Dagmagaatii hai
har shai qaabil-e-diid
magar gurezaa.n hai
sab kuchh nazdiik hai
magar naa-mumkin
kitaab aa.iina kap.De
pi.njra aur parinda
apne naamo.n ke saa.e me.n
be-harkat
vaqt dha.Daktaa hai
mere siine me.n
lahuu kii na badalne vaalii
aazurda taal par
dhuup-chhaa.nv se be-niyaaz diivaar
mabnii-bar-vahm tasviiro.n ke timsaal ghar
me.n badal jaatii hai
mai.n KHud ko apnii zaat par pahra detii
aa.nkh ke markaz me.n chhupaataa huu.n
mai.n simaTtaa huu.n
mai.n bikhartaa huu.n
mai.n faqat ek vaqfa huu.n
rukne aur chalne ke darmiyaan
jiine aur marne ke darmiyaan
mai.n ek aahaT huu.n
naa-qaabil-e-shuniid
mahiin pal ke liye
raat ba-zaahir be-kanaar hai
phir bhii mai.n sar ko uThaataa huu.n
aasmaan par sitaaro.n kii maKHfii tahriir
achaanak mujh par muskuraatii hai
aur anjaane me.n
mai.n jaan jaataa huu.n
ki mujhe likhaa gayaa
miTne ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.