sii.Dhiyaa.n..... ek ma.amuulii mukaalima
mujh se mat kaho
dhuup bahut tez hai
sii.Dhiyaa.n cha.Dhne pe
mere paa.nv jal jaa.e.nge
aur ham kahii.n nahii.n jaa sake.nge
mai.n abhii sii.Dhiyaa.n cha.Dhuu.ngaa
aur dhuup me.n rakhe hu.e phuul
niiche laa ke paanii me.n Daal duu.ngaa
mujh se mat kaho
tez dhuup sii.Dhiyaa.n
paanii me.n khile hu.e phuul
hame.n kuchh nazar nahii.n aataa
mujh se mat kaho
dhuup bahut tez hai
sii.Dhiyaa.n cha.Dhne pe
mere paa.nv jal jaa.e.nge
aur ham kahii.n nahii.n jaa sake.nge
mai.n abhii sii.Dhiyaa.n cha.Dhuu.ngaa
aur dhuup me.n rakhe hu.e phuul
niiche laa ke paanii me.n Daal duu.ngaa
mujh se mat kaho
tez dhuup sii.Dhiyaa.n
paanii me.n khile hu.e phuul
hame.n kuchh nazar nahii.n aataa
- Book : saarii nazmain (Pg. 25)
- Author : ziishaan saahil
- Publication : aaj kii kitaabain 316,madiina city maal,abdullah haroon road karachi-74400 (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.