ta'alluq
KHaamoshii se
bahut sii chiize.n
ek duusre se duur ho jaatii hai.n
jaise
phuulo.n se rangat
zamiino.n se saa.e
aur
pe.Do.n se parinde
mai.n ne hamesha chaahaa ki
jab tum
dukh se
bhar jaa.o to
mujh par ciiKHo chillaa.o aur Gussa karo
kyo.n ki
KHaamoshii se
bahut sii chiize.n
ek duusre se duur ho jaatii hai.n
jaise
phuulo.n se rangat
zamiino.n se saa.e
aur
pe.Do.n se parinde
KHaamoshii se
bahut sii chiize.n
ek duusre se duur ho jaatii hai.n
jaise
phuulo.n se rangat
zamiino.n se saa.e
aur
pe.Do.n se parinde
mai.n ne hamesha chaahaa ki
jab tum
dukh se
bhar jaa.o to
mujh par ciiKHo chillaa.o aur Gussa karo
kyo.n ki
KHaamoshii se
bahut sii chiize.n
ek duusre se duur ho jaatii hai.n
jaise
phuulo.n se rangat
zamiino.n se saa.e
aur
pe.Do.n se parinde
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.