udaasii kaa KHadsha
mai.n raat ke shuruu' hote hii
saakin kha.De chaa.nd kii jaanib
apne udaas KHvaab bhejtaa huu.n
vahaa.n tez raushnii me.n
ye maziid udaas ho jaate hai.n
Duubte aadmii kii tarah
jis kii saarii KHvaahishe.n
usii safar se vaabasta hai.n
mai.n saakin chaa.nd kii jaanib
KHvaabo.n ko paiGaam bhejtaa huu.n
ki ummiid kii rassii mat chho.Dnaa
aur kuchh surKH phuul bhii
ki udaasii kaa jaaduu chal na paa.e
raat be-lagaam gho.De kii tarah bhaagtii hai
aur mai.n gulaab ke kheto.n kii taraf
KHadsho.n kaa samundar ubaltaa hai
ki kahii.n udaasii kaa jaaduu chal na jaa.e
mai.n raat ke shuruu' hote hii
saakin kha.De chaa.nd kii jaanib
apne udaas KHvaab bhejtaa huu.n
vahaa.n tez raushnii me.n
ye maziid udaas ho jaate hai.n
Duubte aadmii kii tarah
jis kii saarii KHvaahishe.n
usii safar se vaabasta hai.n
mai.n saakin chaa.nd kii jaanib
KHvaabo.n ko paiGaam bhejtaa huu.n
ki ummiid kii rassii mat chho.Dnaa
aur kuchh surKH phuul bhii
ki udaasii kaa jaaduu chal na paa.e
raat be-lagaam gho.De kii tarah bhaagtii hai
aur mai.n gulaab ke kheto.n kii taraf
KHadsho.n kaa samundar ubaltaa hai
ki kahii.n udaasii kaa jaaduu chal na jaa.e
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.