Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zholiidagii

Obaidullah Abdi

zholiidagii

Obaidullah Abdi

MORE BYObaidullah Abdi

    vaqt naamii pe.D par

    sukuun ke patte rafta rafta

    mukammal jha.D chuke hai.n

    zindagii kii chaadar par

    merii 'umr kii silvaTe.n

    ek roz KHudaa siidhii kar degaa

    Gariib ke bosiida pairahan par

    fitrat ne phaphuu.ndii se

    paivand lagaa diye

    hunuut-shuda laashe.n

    taariiKH badalne ke ehtijaaj me.n

    taa-abad so.e rahne kaa e'laan kar chukii hai.n

    vaqt kii sunahrii zanjiir me.n muqayyad hasrate.n kisii roz kabaa.D-KHaane me.n saste daamo.n mil jaatii hai.n

    vaqt naamii pe.D par

    sukuun ke patte rafta rafta

    mukammal jha.D chuke hai.n

    zindagii kii chaadar par

    merii 'umr kii silvaTe.n

    ek roz KHudaa siidhii kar degaa

    Gariib ke bosiida pairahan par

    fitrat ne phaphuu.ndii se

    paivand lagaa diye

    hunuut-shuda laashe.n

    taariiKH badalne ke ehtijaaj me.n

    taa-abad so.e rahne kaa e'laan kar chukii hai.n

    vaqt kii sunahrii zanjiir me.n muqayyad hasrate.n kisii roz kabaa.D-KHaane me.n saste daamo.n mil jaatii hai.n

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now