dilli aur hum
ye vo dillī hai ki dil se jis ke dīvāne haiñ ham
ye vo sham-e-zindagī hai jis ke parvāne haiñ ham
aa.ina hai ham se us ke ahd-e-zarrīñ kī jhalak
us ke tahzīb-o-adab ke ā.īna-ḳhāne haiñ ham
ilm-o-fan ke motiyoñ pe jam gayā gard-o-ġhubār
ḳhaak ke zarrāt meñ malbūs durdāne haiñ ham
ham pe rahtī hai nigāh-e-shafqat-e-ahl-e-nazar
mahfil-e-sher-o-adab meñ jāne-pahchāne haiñ ham
hāzir-e-ḳhidmat kiyā hai jauhar-e-qalb-o-dimāġh
kam-nigāhoñ kī nazar meñ phir bhī begāne haiñ ham
ab to ḳhvesh vaġhaira kahte haiñ hameñ kuchh aur hī
jab to ik duniyā samjho thī ki farzāne haiñ ham
tamkanat 'saudā' kī 'tālib' 'mīr' kā rakhte haiñ 'dard'
baaġh to jaane hai saarā par na kuchh jaane haiñ ham
ye wo dilli hai ki dil se jis ke diwane hain hum
ye wo sham-e-zindagi hai jis ke parwane hain hum
aaina hai hum se us ke ahd-e-zarrin ki jhalak
us ke tahzib-o-adab ke aaina-KHane hain hum
ilm-o-fan ke motiyon pe jam gaya gard-o-ghubar
KHak ke zarraat mein malbus durdane hain hum
hum pe rahti hai nigah-e-shafqat-e-ahl-e-nazar
mahfil-e-sher-o-adab mein jaane-pahchane hain hum
hazir-e-KHidmat kiya hai jauhar-e-qalb-o-dimagh
kam-nigahon ki nazar mein phir bhi begane hain hum
ab to KHwesh waghaira kahte hain hamein kuchh aur hi
jab to ek duniya samjho thi ki farzane hain hum
tamkanat 'sauda' ki 'talib' 'mir' ka rakhte hain 'dard'
bagh to jaane hai sara par na kuchh jaane hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.