shab-o-roz tamasha
zehn jab tak hai
ḳhayālāt kī zanjīr kahāñ kaTtī hai
hoñT jab tak haiñ
savālāt kī zanjīr kahāñ kaTtī hai
bahs karte raho likhte raho nazmeñ ġhazleñ
zehn par sadiyoñ se taarī hai jo majlis kī fazā
is ḳhunuk aañch se kyā pighlegī
soch lene hī se hālāt kī zanjīr kahāñ kaTtī hai
niiñd meñ Duubī huī āñkhoñ se vābasta ḳhvāb
tez kirnoñ kī sinānoñ pe hī rusvā sar-e-ām
ye shahīd apnī salīboñ se palaT aate haiñ dil meñ har shaam
sub.h hotī hai magar raat kī zanjīr kahāñ kaTtī hai
din guzar jaatā hai be-faiz kad-o-kāvish meñ
ek an-dekhe jahannam kī tab-o-tābish meñ
jism aur jaañ kī tag-o-tāz kī har pursish meñ
dard-o-ġham hasrat-o-mahrūmī kī har kāhish meñ
talab-o-tark-e-talab silsila-e-be-pāyāñ
marg hī ziist kā unvān hai har ḳhūn-shuda ḳhvāhish meñ
ġham se bhāgeñ bhī to faryād-o-shikāyāt kī zanjīr kahāñ kaTtī hai
vaqt vo daulat-e-nāyāb hai aatā nahīñ haath
ham mashīnoñ kī tarah jiite haiñ pābandi-e-auqāt ke saath
vaqt be-kār guzartā hī chalā jaatā hai
kursiyoñ mezoñ se be-ma.anī mulāqātoñ meñ
saiñkaḌoñ baar kī aglī huī dohrā.ī huī bātoñ meñ
mandgī rahne kī tamannā kī mudārātoñ meñ
shikam-o-jāñ kī ibādāt kī zanjīr kahāñ kaTtī hai
sub.h se shaam talak itne ḳhudā milte haiñ har kāfir ko
sajda-e-shukr se inkār kī mohlat nahīñ milne paatī
saiñkaḌoñ lākhoñ ḳhudāoñ kī nazar se chhup kar
ḳhud se mil lene kī ruḳhsat nahīñ milne paatī
ḳhud-parastoñ se bhī tā.āt kī zanjīr kahāñ kaTtī hai
raat aatī hai to dil kahtā hai ham apne haiñ
ḳhalvat-e-ḳhvāb meñ duniyā se kinārā kar leñ
kal bhī denā hai lahū apnā dil-o-dīda kī jholī bhar leñ
jism ke shor se aur ruuh kī fariyād se dam ghuTtā hai
din ke be-kār ḳhayālāt kī zanjīr kahāñ kaTtī hai
be-niyāzāna bhī jiinā hai faqat ek gumāñ
fikr-e-maujūd ko chhoḌeñ to ġham-e-nā-maujūd
saath har saañs ke hai silsila-e-hast-o-būd
ġham-e-āfāq ko Thukrā.eñ kareñ tark-e-jahāñ
phir bhī ye fikr ki jiine kā ho koī unvāñ
be-niyāzī se ġham-e-zāt kī zanjīr kahāñ kaTtī hai
zehn meñ andhe aqīdoñ kī siyāhī bhar lo
taaki is nagrī meñ
kabhī afkār ke sho.aloñ kā guzar ho na sake
jabr kā hukm suno
hoñToñ ko apne sī lo
taaki un rāhoñ se
kabhī lafzoñ kā safar ho na sake
zehn-o-lab phir bhī nahīñ chup hote
un ke ḳhāmosh savālāt kī
pech-dar-pech ḳhayālāt kī
zanjīr kahāñ kaTtī hai
zehn jab tak hai
KHayalat ki zanjir kahan kaTti hai
honT jab tak hain
sawalat ki zanjir kahan kaTti hai
bahs karte raho likhte raho nazmen ghazlen
zehn par sadiyon se tari hai jo majlis ki faza
is KHunuk aanch se kya pighlegi
soch lene hi se haalat ki zanjir kahan kaTti hai
nind mein Dubi hui aankhon se wabasta KHwab
tez kirnon ki sinanon pe hi ruswa sar-e-am
ye shahid apni salibon se palaT aate hain dil mein har sham
subh hoti hai magar raat ki zanjir kahan kaTti hai
din guzar jata hai be-faiz kad-o-kawish mein
ek an-dekhe jahannam ki tab-o-tabish mein
jism aur jaan ki tag-o-taz ki har pursish mein
dard-o-gham hasrat-o-mahrumi ki har kahish mein
talab-o-tark-e-talab silsila-e-be-payan
marg hi zist ka unwan hai har KHun-shuda KHwahish mein
gham se bhagen bhi to faryaad-o-shikayat ki zanjir kahan kaTti hai
waqt wo daulat-e-nayab hai aata nahin hath
hum mashinon ki tarah jite hain pabandi-e-auqat ke sath
waqt be-kar guzarta hi chala jata hai
kursiyon mezon se be-mani mulaqaton mein
sainkaDon bar ki agli hui dohrai hui baaton mein
mandgi rahne ki tamanna ki mudaraaton mein
shikam-o-jaan ki ibaadat ki zanjir kahan kaTti hai
subh se sham talak itne KHuda milte hain har kafir ko
sajda-e-shukr se inkar ki mohlat nahin milne pati
sainkaDon lakhon KHudaon ki nazar se chhup kar
KHud se mil lene ki ruKHsat nahin milne pati
KHud-paraston se bhi taat ki zanjir kahan kaTti hai
raat aati hai to dil kahta hai hum apne hain
KHalwat-e-KHwab mein duniya se kinara kar len
kal bhi dena hai lahu apna dil-o-dida ki jholi bhar len
jism ke shor se aur ruh ki fariyaad se dam ghuTta hai
din ke be-kar KHayalat ki zanjir kahan kaTti hai
be-niyazana bhi jina hai faqat ek guman
fikr-e-maujud ko chhoDen to gham-e-na-maujud
sath har sans ke hai silsila-e-hast-o-bud
gham-e-afaq ko Thukraen karen tark-e-jahan
phir bhi ye fikr ki jine ka ho koi unwan
be-niyazi se gham-e-zat ki zanjir kahan kaTti hai
zehn mein andhe aqidon ki siyahi bhar lo
taki is nagri mein
kabhi afkar ke shoalon ka guzar ho na sake
jabr ka hukm suno
honTon ko apne si lo
taki un rahon se
kabhi lafzon ka safar ho na sake
zehn-o-lab phir bhi nahin chup hote
un ke KHamosh sawalat ki
pech-dar-pech KHayalat ki
zanjir kahan kaTti hai
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 611)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.