(1) be-chehragi
ham ek aisī vaadī daryāft kar chuke
jahāñ sirf dukhoñ kī fasl kāsht hotī hai
jannat kī baat karne vāloñ ke hoñT
ḳhāmushī ke dhāge se sī kar
unheñ sannāToñ kī jahannam meñ Daal diyā jaatā hai
mohabbat ke māthe par ''nafrat'' likhne kī siyāhī
har siine meñ Daal dī ga.ī hai
dhartī ke siine par ḳhushiyāñ sīñchne vāloñ kī āñkheñ
ab apne haath talāshtī phirtī haiñ
nafrat ke tezāb se ham
ek dūsre kā chehra bigāḌne par tul chuke haiñ
hamārī ma.asūmiyat ke chehre par
ḳhauf jaale bun chukā hai
hum ek aisi wadi daryaft kar chuke
jahan sirf dukhon ki fasl kasht hoti hai
jannat ki baat karne walon ke honT
KHamushi ke dhage se si kar
unhen sannaTon ki jahannam mein Dal diya jata hai
mohabbat ke mathe par nafrat likhne ki siyahi
har sine mein Dal di gai hai
dharti ke sine par KHushiyan sinchne walon ki aankhen
ab apne hath talashti phirti hain
nafrat ke tezab se hum
ek dusre ka chehra bigaDne par tul chuke hain
hamari masumiyat ke chehre par
KHauf jale bun chuka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.