(1) parliament
ek ārāsta band kamra
jis ke darvāze ḳhārzār kī taraf khulte haiñ
jahāñ hamāre talvoñ par tārīk rāheñ naqsh kar ke
hameñ ḳhasāroñ ke safar par bhejā jaatā hai
ham hamesha gard-o-ġhubār kamā kar laa.e
magar kabhī inkār ko rahnumā nahīñ jaanā
hamāre zehn ke ufuq par
sūraj ke tulū hone par pahre haiñ
ki band kamre meñ
añdheroñ kī nigahbānī meñ hamārā muqaddar likhne vāloñ kā
muqaddar kaun likhtā hai?
shor machā kar ham meñ sukūt bāñTne vaale
sukūt kahāñ se laate haiñ
ek aarasta band kamra
jis ke darwaze KHarzar ki taraf khulte hain
jahan hamare talwon par tarik rahen naqsh kar ke
hamein KHasaron ke safar par bheja jata hai
hum hamesha gard-o-ghubar kama kar lae
magar kabhi inkar ko rahnuma nahin jaana
hamare zehn ke ufuq par
suraj ke tulu hone par pahre hain
ki band kamre mein
andheron ki nigahbani mein hamara muqaddar likhne walon ka
muqaddar kaun likhta hai?
shor macha kar hum mein sukut banTne wale
sukut kahan se late hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.