Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baba guru-nanak dev

Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

baba guru-nanak dev

Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

    ek jism-e-nā-tavāñ itnī dabāoñ hujūm

    ik charāġh-e-sub.h aur itnī havāoñ hujūm

    manzileñ gum aur itne rahnumāoñ hujūm

    e'tiqād-e-ḳhām aur itne ḳhudāoñ hujūm

    kashmakash meñ apne ma.abad se katrātā huā

    aadmī phirtā thā dar dar Thokareñ khātā huā

    haq ko hotī thī har ik maidāñ meñ bātil se shikast

    sar-nigūñ sar-dar-garebāñ sar-basar the zerdast

    fan thā ik matlab-barārī log the matlab-parast

    is-qadar bigḌā huā thā zindagī bandobast

    hāmī-e-jaur-o-sitam har tarah mālā-māl thā

    jis lāThī thī usī bhaiñs thī ye haal thā

    kyā ḳhudā ḳhauf kaisā jazba-e-hubb-e-vatan

    barsar-e-paikār the aapas meñ shaiḳh-o-barahman

    bāġhbāñ jo the vo ḳhud the mahv-e-taḳhrīb-e-chaman

    al-ġharaz bigḌī huī thī anjuman anjuman

    maz.hab-e-insāniyat pāsbāñ koī na thā

    kārvāñ lākhoñ the mīr-e-kārvāñ koī na thā

    rūh-e-insāñ ne ḳhudā ke sāmne fariyād

    jo zamīñ par ho rahā thā sab bayāñ rūdād

    aur kahā had ho chukī hai kufr ilhād

    ek duniyā muntazir hai aap ke irshād

    tab ye farmāyā ḳhudā ne sab ko samjhā.ūñgā maiñ

    aadmī ruup dhāran kar ke ḳhud ā.ūñgā maiñ

    is tarah āḳhir huā duniyā meñ nānak zuhūr

    farsh-e-tilwanDī pe utrā arsh se rabb-e-ġhafūr

    uTh gayā zulmāt Derā baḌhā har samt nuur

    mamba.a-e-anvār se phailīñ shuā.eñ duur duur

    mehr-e-tābāñ ne do-ālam meñ ujālā kar diyā

    aadmī ne aadmī bol-bālā kar diyā

    ek jism-e-na-tawan itni dabaon ka hujum

    ek charagh-e-subh aur itni hawaon ka hujum

    manzilen gum aur itne rahnumaon ka hujum

    e'tiqad-e-KHam aur itne KHudaon ka hujum

    kashmakash mein apne hi mabad se katraata hua

    aadmi phirta tha dar dar Thokaren khata hua

    haq ko hoti thi har ek maidan mein baatil se shikast

    sar-nigun sar-dar-gareban sar-basar the zerdast

    fan tha ek matlab-barari log the matlab-parast

    is-qadar bigDa hua tha zindagi ka bandobast

    hami-e-jaur-o-sitam har tarah mala-mal tha

    jis ki laThi thi usi ki bhains thi ye haal tha

    kya KHuda ka KHauf kaisa jazba-e-hubb-e-watan

    barsar-e-paikar the aapas mein shaiKH-o-barahman

    baghban jo the wo KHud the mahw-e-taKHrib-e-chaman

    al-gharaz bigDi hui thi anjuman ki anjuman

    mazhab-e-insaniyat ka pasban koi na tha

    karwan lakhon the mir-e-karwan koi na tha

    ruh-e-insan ne KHuda ke samne fariyaad ki

    jo zamin par ho raha tha sab bayan rudad ki

    aur kaha had ho chuki hai kufr ki ilhad ki

    ek duniya muntazir hai aap ke irshad ki

    tab ye farmaya KHuda ne sab ko samjhaunga main

    aadmi ka rup dhaaran kar ke KHud aaunga main

    is tarah aaKHir hua duniya mein nanak ka zuhur

    farsh-e-tilwanDi pe utra arsh se rabb-e-ghafur

    uTh gaya zulmat ka Dera baDha har samt nur

    mamba-e-anwar se phailin shuaen dur dur

    mehr-e-taban ne do-alam mein ujala kar diya

    aadmi ne aadmi ka bol-baala kar diya

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now