guru-nanak dev ji
tire jamāl se ai āftāb-e-nankāna
nikhar nikhar gayā husn-e-shu.ūr-e-rindāna
kuchh aise rañg se chheḌā rabāb-e-mastāna
ki jhūmne lagā rūhāniyat kā mai-ḳhāna
tirī sharāb se mad.hosh ho ga.e mai-ḳhvār
duī miTā ke ham āġhosh ho ga.e mai-ḳhvār
tirā payām thā Duubā huā tabassum meñ
bharī thī rūh-e-latāfat tire takallum meñ
navā-e-haq kī kashish thī tire tarannum meñ
yaqīñ kī sham.a jalā.ī shab-e-tavahhum meñ
diloñ ko haq se ham-āhañg kar diyā tū ne
guloñ ko gūñdh ke yak-rañg kar diyā tū ne
tirī navā ne diyā nuur ādamiyat ko
miTā ke rakh diyā hirs-o-havā kī zulmat ko
diloñ se duur kiyā sīm-o-zar kī raġhbat ko
ki pā liyā thā tire dil ne haq kī daulat ko
hujūm-e-zulmat-e-bātil meñ haq-panāhī kī
faqīr ho ke bhī duniyā meñ bādshāhī kī
tirī nigāh meñ qur.ān-o-dīd kā aalam
tirā ḳhayāl thā rāz-e-hayāt kā mahram
har ek gul pe Tapaktī thī pyaar kī shabnam
ki bas gayā thā nazar meñ bahisht kā mausam
nafas nafas meñ kalī rañg-o-bū kī Dhaltī thī
nasīm thī ki farishtoñ kī saañs chaltī thī
tirī sharāb se baabā farīd the sarshār
tire ḳhulūs se be-ḳhud the sūfīyān-e-kibār
kahāñ kahāñ nahīñ pahuñchī tire qadam kī bahār
tire amal ne sañvāre jahān ke kirdār
tirī nigāh ne sahbā-e-āgahī de dī
bashar ke haath meñ qindīl-e-zindagī de dī
tire payām se aisī kī thī masīhā.ī
tire suḳhan meñ habīb-e-ḳhudā kī rānā.ī
tire kalām meñ gautam kā nūr-e-dānā.ī
tire tarāne meñ murlī kā lahn-e-yaktā.ī
har ek nuur nazar aayā tere paikar meñ
tamām nik.hateñ simTī haiñ ik gul-e-tar meñ
jahāñ jahāñ bhī gayā tū ne āgahī bāñTī
añdherī raat meñ chāhat kī raushnī bāñTī
atā kiyā dil-e-bedār zindagī bāñTī
fasād-o-jañg kī duniyā meñ shāñtī bāñTī
bahār aa.ī khilī pyaar kī kalī har sū
tire nafas se nasīm-e-sahar chalī har sū
razā-e-haq ko najāt-e-bashar kahā tū ne
ta.a.īnāt-e-ḳhudī ko zarar kahā tū ne
vafā-nigar ko haqīqat-nigar kahā tū ne
zuhūr-e-ishq ko sachchī sahar kahā tū ne
jahān-e-ishq meñ kuchh besh-o-kam kā farq na thā
tirī nigāh meñ dair-o-haram kā farq na thā
batāyā tū ne ki irfāñ se āshnā honā
kabhī na āshiq-e-duniyā-e-be-vafā honā
badī se shām-o-sahar jang-āzmā honā
ḳhudā se duur na ai banda-e-ḳhudā honā
nashe meñ daulat-o-zar ke na chuur ho jaanā
qarīb aa.e jo duniyā to duur ho jaanā
jo ruuh ban ke samā jaa.e har rag-o-pai meñ
to phir na shahd meñ lazzat na sāġhar-e-mai meñ
vahī hai saaz ke parde meñ lahn meñ lai meñ
usī kī zaat kī parchhā.iyāñ har ik shai meñ
na mauj hai na sitāroñ kī aab hai koī
tajalliyoñ ke idhar āftāb hai koī
abad kā nuur farāham kiyā sahar ke liye
diyā payām bahāroñ kā dasht-o-dar ke liye
diye jalā diye tārīk rahguzar ke liye
jiyā bashar ke liye jaan dī bashar ke liye
duā ye hai ki rahe ishq hashr tak terā
zamīñ pe aam ho ye dard-e-mushtarak terā
ḳhudā kare ki zamāna sune tirī āvāz
har ik jabīñ ko mayassar ho terā aks-e-niyāz
jahāñ meñ aam ho tere hī pyaar kā andāz
ḳhulūs-e-dil se ho puujā ḳhulūs-e-dil se namāz
tire payām kī barakat se nek ho jaa.eñ
ye imtiyāz miTeñ log ek ho jaa.eñ
tere jamal se ai aaftab-e-nankana
nikhar nikhar gaya husn-e-shuur-e-rindana
kuchh aise rang se chheDa rabab-e-mastana
ki jhumne laga ruhaniyat ka mai-KHana
teri sharab se madhosh ho gae mai-KHwar
dui miTa ke hum aaghosh ho gae mai-KHwar
tera payam tha Duba hua tabassum mein
bhari thi ruh-e-latafat tere takallum mein
nawa-e-haq ki kashish thi tere tarannum mein
yaqin ki shama jalai shab-e-tawahhum mein
dilon ko haq se ham-ahang kar diya tu ne
gulon ko gundh ke yak-rang kar diya tu ne
teri nawa ne diya nur aadamiyat ko
miTa ke rakh diya hirs-o-hawa ki zulmat ko
dilon se dur kiya sim-o-zar ki raghbat ko
ki pa liya tha tere dil ne haq ki daulat ko
hujum-e-zulmat-e-baatil mein haq-panahi ki
faqir ho ke bhi duniya mein baadshahi ki
teri nigah mein quran-o-did ka aalam
tera KHayal tha raaz-e-hayat ka mahram
har ek gul pe Tapakti thi pyar ki shabnam
ki bas gaya tha nazar mein bahisht ka mausam
nafas nafas mein kali rang-o-bu ki Dhalti thi
nasim thi ki farishton ki sans chalti thi
teri sharab se baba farid the sarshaar
tere KHulus se be-KHud the sufiyan-e-kibar
kahan kahan nahin pahunchi tere qadam ki bahaar
tere amal ne sanware jahan ke kirdar
teri nigah ne sahba-e-agahi de di
bashar ke hath mein qindil-e-zindagi de di
tere payam se aisi ki thi masihai
tere suKHan mein habib-e-KHuda ki ranai
tere kalam mein gautam ka nur-e-danai
tere tarane mein murli ka lahn-e-yaktai
har ek nur nazar aaya tere paikar mein
tamam nikhaten simTi hain ek gul-e-tar mein
jahan jahan bhi gaya tu ne aagahi banTi
andheri raat mein chahat ki raushni banTi
ata kiya dil-e-bedar zindagi banTi
fasad-o-jang ki duniya mein shanti banTi
bahaar aai khili pyar ki kali har su
tere nafas se nasim-e-sahar chali har su
raza-e-haq ko najat-e-bashar kaha tu ne
tainat-e-KHudi ko zarar kaha tu ne
wafa-nigar ko haqiqat-nigar kaha tu ne
zuhur-e-ishq ko sachchi sahar kaha tu ne
jahan-e-ishq mein kuchh besh-o-kam ka farq na tha
teri nigah mein dair-o-haram ka farq na tha
bataya tu ne ki irfan se aashna hona
kabhi na aashiq-e-duniya-e-be-wafa hona
badi se sham-o-sahar jang-azma hona
KHuda se dur na ai banda-e-KHuda hona
nashe mein daulat-o-zar ke na chur ho jaana
qarib aae jo duniya to dur ho jaana
jo ruh ban ke sama jae har rag-o-pai mein
to phir na shahd mein lazzat na saghar-e-mai mein
wahi hai saz ke parde mein lahn mein lai mein
usi ki zat ki parchhaiyan har ek shai mein
na mauj hai na sitaron ki aab hai koi
tajalliyon ke idhar aaftab hai koi
abad ka nur faraham kiya sahar ke liye
diya payam bahaaron ka dasht-o-dar ke liye
diye jala diye tarik rahguzar ke liye
jiya bashar ke liye jaan di bashar ke liye
dua ye hai ki rahe ishq hashr tak tera
zamin pe aam ho ye dard-e-mushtarak tera
KHuda kare ki zamana sune teri aawaz
har ek jabin ko mayassar ho tera aks-e-niyaz
jahan mein aam ho tere hi pyar ka andaz
KHulus-e-dil se ho puja KHulus-e-dil se namaz
tere payam ki barakat se nek ho jaen
ye imtiyaz miTen log ek ho jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.