Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

guru-nanak

Anand Narayan Mulla

guru-nanak

Anand Narayan Mulla

MORE BYAnand Narayan Mulla

    Interesting Fact

    (Upon Guru Nanak's 500th Anniversary, Patna)

    kasāfat-e-zindagī zulmat meñ sham-e-haq zau-fishāñ ho kaise

    jahāñ bujhtī huī nigāhoñ ko jagmagātā hai bām-e-nānak

    na paak koī na koī nāpāk koī ūñchā na koī nīchā

    gurū ye mai-kada hai is har ik ko miltā hai jām-e-nānak

    yahāñ miTe aa ke tafraqe sab rahī na ālūdgī koī bhī

    ye harf-e-ulfat, ye taur-e-irfāñ, ye arsh-e-insāñ, ye nām-e-nānak

    kasafat-e-zindagi ki zulmat mein sham-e-haq zau-fishan ho kaise

    jahan ki bujhti hui nigahon ko jagmagata hai baam-e-nanak

    na pak koi na koi napak koi uncha na koi nicha

    guru ka ye mai-kada hai is ja har ek ko milta hai jam-e-nanak

    yahan miTe aa ke tafraqe sab rahi na aaludgi koi bhi

    ye harf-e-ulfat, ye taur-e-irfan, ye arsh-e-insan, ye nam-e-nanak

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Anand Narayan Mulla (Pg. 575)
    • Author : Anand Narayan Mull
    • Publication : Qaumi Council Baraye-farogh Urdu (2010)
    • Edition : 2010

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now