sharif-zada
suno kal tumheñ ham ne madras cafe meñ
aubāsh logoñ ke hamrāh dekhā
vo sab laḌkiyāñ bad-chalan thiiñ jinheñ tum
salīqe se kaafī ke cup de rahe the
bahut fuhsh aur mubtazil naach thā vo
ki jis ke recordoñ kī ghaTiyā dhunoñ par
thiraktī machaltī huī laḌkiyoñ ne
tumheñ apnī bāhoñ kī jannat meñ rakkhā
bahut dukh huā
tum ne hotel meñ kamra kirā.e pe le kar
un aubāsh logoñ aur un laḌkiyoñ ke hujūm-e-tarab meñ
ga.ī rut tak jashn-e-sahbā manāyā
bahut dukh huā ḳhāndānī sharāfat
buzurgoñ kī bāñkī sajīlī vajāhat ko
tum ne sar-e-ām yuuñ rauñd Daalā
salīqa jo hotā tumheñ laġhzishoñ kā
to apne buzurgoñ kī mānind tum bhī
gharoñ meñ kanīzoñ se pahlū sajāte
pa.e ishrat-e-dil havelī meñ har shab
kabhī raqs hotā kabhī jaam chalte
kisī māh-ruḳh par dil-o-jāñ luTāte
salīqa jo hotā tumheñ laġhzishoñ kā
to yuuñ ḳhāndānī sharāfat vajāhat
na miTTī meñ miltī na badnām hotī
suno kal tumhein hum ne madras cafe mein
aubash logon ke hamrah dekha
wo sab laDkiyan bad-chalan thin jinhen tum
saliqe se kafi ke cup de rahe the
bahut fuhsh aur mubtazil nach tha wo
ki jis ke recordon ki ghaTiya dhunon par
thirakti machalti hui laDkiyon ne
tumhein apni bahon ki jannat mein rakkha
bahut dukh hua
tum ne hotel mein kamra kirae pe le kar
un aubash logon aur un laDkiyon ke hujum-e-tarab mein
gai rut tak jashn-e-sahba manaya
bahut dukh hua KHandani sharafat
buzurgon ki banki sajili wajahat ko
tum ne sar-e-am yun raund Dala
saliqa jo hota tumhein laghzishon ka
to apne buzurgon ki manind tum bhi
gharon mein kanizon se pahlu sajate
pae ishrat-e-dil haweli mein har shab
kabhi raqs hota kabhi jam chalte
kisi mah-ruKH par dil-o-jaan luTate
saliqa jo hota tumhein laghzishon ka
to yun KHandani sharafat wajahat
na miTTi mein milti na badnam hoti
- Book : Sang-e-sada (Pg. 35)
- Author : Zubair Rizvi
- Publication : Zehn-e-jadid (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.