16
havā chalī
to shaam āsmān se
galī ke tañg moḌ tak
tamām rañg chhoḌ kar
bahut udaas ho ga.ī
siyāh raat ke liye
na is ke paas ḳhvāb the
na is ke paas raushnī
na is kā koī makān thā
na koī sā.ebān thā
vo pāniyoñ se duur thī
thakī huī udaas shaam
havā chalī to raat meñ
jahāñ use jagah milī
vo ḳhāmushī se so ga.ī
hawa chali
to sham aasman se
gali ke tang moD tak
tamam rang chhoD kar
bahut udas ho gai
siyah raat ke liye
na is ke pas KHwab the
na is ke pas raushni
na is ka koi makan tha
na koi saeban tha
wo paniyon se dur thi
thaki hui udas sham
hawa chali to raat mein
jahan use jagah mili
wo KHamushi se so gai
- Book : saarii nazmen (Pg. 593)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.