tujhe kya KHabar
tirī aarzū
jise maiñ ne sab se alag rakkhā
use dil ke narm ġhilāf se
kabhī jhāñkne bhī nahīñ diyā
ki ye ḳhvāhishoñ ke hujūm meñ
kahīñ apnī qadar gañvā na de
tirī chhoTī chhoTī nishāniyoñ ko
baḌe qarīne se poTlī meñ lapeT kar
kabhī koTharī meñ chhupā diyā
kabhī TaañD par rakhe degche meñ girā diyā
ki pare pare raheñ chashm-e-charḳh-e-kabūd se
kabhī zer-e-lab tirā naam bhī
kahīñ le liyā
to tamām shab usī vasvase meñ guzar ga.ī
ki ḳhamoshiyoñ meñ Dhalā huā ye surūd-e-ġham
kisī kam-shanās ne sun liyā
to na bach sakegā vaqār-e-hurmat
usī ehtiyāt meñ kaT ga.ī hai mirī hayāt kī dopahar
mire chāragar tujhe kyā ḳhabar
mujhe aaj bhī tirī laaj kā vahī pahle jaisā ḳhayāl hai
na to fikr-e-shām-e-firāq hai
na umīd-e-sub.h-e-visāl hai
teri aarzu
jise main ne sab se alag rakkha
use dil ke narm ghilaf se
kabhi jhankne bhi nahin diya
ki ye KHwahishon ke hujum mein
kahin apni qadar ganwa na de
teri chhoTi chhoTi nishaniyon ko
baDe qarine se poTli mein lapeT kar
kabhi koThari mein chhupa diya
kabhi TanD par rakhe degche mein gira diya
ki pare pare rahen chashm-e-charKH-e-kabud se
kabhi zer-e-lab tera nam bhi
kahin le liya
to tamam shab usi waswase mein guzar gai
ki KHamoshiyon mein Dhala hua ye surud-e-gham
kisi kam-shanas ne sun liya
to na bach sakega waqar-e-hurmat
usi ehtiyat mein kaT gai hai meri hayat ki dopahar
mere chaaragar tujhe kya KHabar
mujhe aaj bhi teri laj ka wahi pahle jaisa KHayal hai
na to fikr-e-sham-e-firaq hai
na umid-e-subh-e-visal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.