ḳhizāñ ke jaate hī rut kā pāñsa palaT gayā hai
bahār kī ḳhushbuoñ se gulshan kā zarra zarra mahak rahā hai
zamīñ kī rañgat badal ga.ī hai
kabhī taġhayyur jo mausamoñ kā
nirāle gītoñ ke saath aayā
to zindagī kī azīz-tar sā.atoñ ke mālik
bhaḌak uThe the
palak palak par ka.ī kahe an-kahe fasāne
machal ga.e the
to qand-e-guftār meñ bhī talḳhī rachī huī thī
fazā kī ālūdgī kā shikva thā un ke lab par
shunīda bātoñ kā ḳhauf un ke diloñ meñ aisā basā huā thā
ki vo kisī baat par yaqīñ bhī na karne paate
gire the un kī samā.atoñ aur basāratoñ par dabīz parde
kabhī jo mausam ne ruḳh jo badlā
to un ke hosh-o-havās jaage
unhoñ ne qudrat ke rañg dekhe
to zindagī kā yaqīn aayā
bahār kī samt lauT aa.e
KHizan ke jate hi rut ka pansa palaT gaya hai
bahaar ki KHushbuon se gulshan ka zarra zarra mahak raha hai
zamin ki rangat badal gai hai
kabhi taghayyur jo mausamon ka
nirale giton ke sath aaya
to zindagi ki aziz-tar saaton ke malik
bhaDak uThe the
palak palak par kai kahe an-kahe fasane
machal gae the
to qand-e-guftar mein bhi talKHi rachi hui thi
faza ki aaludgi ka shikwa tha un ke lab par
shunida baaton ka KHauf un ke dilon mein aisa basa hua tha
ki wo kisi baat par yaqin bhi na karne pate
gire the un ki samaaton aur basaraton par dabiz parde
kabhi jo mausam ne ruKH jo badla
to un ke hosh-o-hawas jage
unhon ne qudrat ke rang dekhe
to zindagi ka yaqin aaya
bahaar ki samt lauT aae
- Book : Pakistani Adab (Pg. 120)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.