1973 ki ek nazm
yahāñ tak ham aa ga.e haiñ
aur haañ tumhārā pata inhīñ logoñ se ma.alūm huā jo mar chuke the
jab ham chale the to aadhī umr bitāne ke pachhtāve ke sāmne din Duub rahā thā
ek ghoḌā khaḌā thā
aur haañp rahā thā
ek minute Thahro maiñ thoḌī sī chaa.e pī luuñ to aage baḌhūñ
mere haath meñ ye jo safed kāġhaz hai ise tumhārī himāqat nahīñ chhīn saktī
aur na havā uḌā saktī hai
agar tum tairnā jānte ho to zindagī bahut burī hote hue bhī bahut burī nahīñ
tum binā thake hue bhī ka.ī saal tak tair sakte ho
agar tumhāre dil meñ ek yaad bhī baaqī hai
to jugnuoñ se bhare hue jañgal is duniyā meñ ab bhī haiñ
ek jugnū kahīñ se pakaḌ lo
aur use apnī jeb meñ rakh lo
aur añdhere meñ chalo
raushnī tumhārī jeb se chhan-chhan ke rāsta samghā.egī
magar suno
jab rāsta mil jaa.e to jugnū ko chhoḌ denā
āzād kar denā
yahan tak hum aa gae hain
aur han tumhaara pata inhin logon se malum hua jo mar chuke the
jab hum chale the to aadhi umr bitane ke pachhtawe ke samne din Dub raha tha
ek ghoDa khaDa tha
aur hanp raha tha
ek minute Thahro main thoDi si chae pi lun to aage baDhun
mere hath mein ye jo safed kaghaz hai ise tumhaari himaqat nahin chhin sakti
aur na hawa uDa sakti hai
agar tum tairna jaante ho to zindagi bahut buri hote hue bhi bahut buri nahin
tum bina thake hue bhi kai sal tak tair sakte ho
agar tumhaare dil mein ek yaad bhi baqi hai
to jugnuon se bhare hue jangal is duniya mein ab bhi hain
ek jugnu kahin se pakaD lo
aur use apni jeb mein rakh lo
aur andhere mein chalo
raushni tumhaari jeb se chhan-chhan ke rasta samghaegi
magar suno
jab rasta mil jae to jugnu ko chhoD dena
aazad kar dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.