aiwan-e-taslis mein sham-e-wahdat jale
aur jab un ke ajdād kī sarzamīñ
jis kī āġhosh meñ vo pale
tañg hone lagī
jab usūloñ kī pākīzgī
aur ganda rivāyāt meñ
jañg hone lagī
to unheñ āsmāñ se hidāyat milī
nek band tumhāre liye
ye zamīñ ek hai
us safar meñ tumheñ rizq kī fikr hai
kyā anājoñ kī gaThrī uThā.e
charindoñ parindoñ ko dekhā kabhī
zād-e-rah
nek a.amāl haiñ
mere ahkām haiñ
maut kā ḳhauf be-kār hai
āḳhirī saañs ke ba.ad
sab ko palaTnā hai merī taraf
tum faqat jism hī to nahīñ
apne andar sulagtī huī raushnī
ke sahāre baḌho
ek hī jast meñ
dast-o-dariyā kī phailī huī
vus.ateñ naap lo
chappe chappe pe apne nuqūsh-e-qadam
is tarah sabt kar do
ki un ajnabiyoñ kī hairat miTe
aur paiham ta.āqub meñ dushman jo haiñ
un kī ḳhiffat baḌhe
mere ahkām kī raushnī
sab ke dil meñ utāro
ki aivān-e-taslīs meñ
sham-e-vahdat jale
aur jab un ke ajdad ki sarzamin
jis ki aaghosh mein wo pale
tang hone lagi
jab usulon ki pakizgi
aur ganda riwayat mein
jang hone lagi
to unhen aasman se hidayat mili
nek band tumhaare liye
ye zamin ek hai
us safar mein tumhein rizq ki fikr hai
kya anajon ki gaThri uThae
charindon parindon ko dekha kabhi
zad-e-rah
nek aamal hain
mere ahkaam hain
maut ka KHauf be-kar hai
aaKHiri sans ke baad
sab ko palaTna hai meri taraf
tum faqat jism hi to nahin
apne andar sulagti hui raushni
ke sahaare baDho
ek hi jast mein
dast-o-dariya ki phaili hui
wusaten nap lo
chappe chappe pe apne nuqush-e-qadam
is tarah sabt kar do
ki un ajnabiyon ki hairat miTe
aur paiham taaqub mein dushman jo hain
un ki KHiffat baDhe
mere ahkaam ki raushni
sab ke dil mein utaro
ki aiwan-e-taslis mein
sham-e-wahdat jale
- Book : Roshan waraq waraq (Pg. 86)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.