haji-baba
purānī baat hai
lekin ye anhonī sī lagtī hai
sunā hai jab kabhī shahr-e-sabā ke hājī-bābā
apne shāgirdoñ ko dars-e-āḳhirī dete
saroñ par un ke dastār-e-fazīlat bāñdhte
kaale amāmoñ meñ sab hī shāgird saf-basta khaḌe
ye ahd karte the
ḳhudāvandā
hamāre ilm meñ to ḳhair-o-barkat de
hameñ taufīq de ham hājī-bābā kī tarah
shahr-e-sabā ke chaar konoñ meñ na.e maktab banā.eñ
dars-gāhoñ kī binā Dāleñ
sunā hai hājī-bābā
apne shāgirdoñ ko chaar hissoñ meñ jab taqsīm karte to
zamīñ ke chaar konoñ se sadā-e-marhabā aatī
har ik sū
mushk kī ḳhushbū fazā meñ phail sī jaatī
bahut din ba.ad phir aisā huā thā hājī-bābā ne
zamīñ ke chaar konoñ se dhuāñ uThte hue dekhā
jale harfoñ kī ruuh mātam-kunāñ
shahr-e-sabā meñ muddatoñ phirtī rahī tanhā
sunā hai phir kabhī
shahr-e-sabā ke hājī-bābā ne dar-e-maktab nahīñ kholā
kisī par koī kaalā amāma phir nahīñ bāñdhā
purani baat hai
lekin ye anhoni si lagti hai
suna hai jab kabhi shahr-e-saba ke haji-baba
apne shagirdon ko dars-e-aKHiri dete
saron par un ke dastar-e-fazilat bandhte
kale amamon mein sab hi shagird saf-basta khaDe
ye ahd karte the
KHudawanda
hamare ilm mein to KHair-o-barkat de
hamein taufiq de hum haji-baba ki tarah
shahr-e-saba ke chaar konon mein nae maktab banaen
dars-gahon ki bina Dalen
suna hai haji-baba
apne shagirdon ko chaar hisson mein jab taqsim karte to
zamin ke chaar konon se sada-e-marhaba aati
har ek su
mushk ki KHushbu faza mein phail si jati
bahut din baad phir aisa hua tha haji-baba ne
zamin ke chaar konon se dhuan uThte hue dekha
jale harfon ki ruh matam-kunan
shahr-e-saba mein muddaton phirti rahi tanha
suna hai phir kabhi
shahr-e-saba ke haji-baba ne dar-e-maktab nahin khola
kisi par koi kala amama phir nahin bandha
- Book : Sang-ge-Sada (Pg. 80)
- Author : Zubair Razvi
- Publication : Zehne Jadid, New Delhi (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.