zaruri baat
niilī niilī shaam kī ḳhāmoshiyoñ ke beach
kyā sargoshiyāñ sī karte haiñ shāḳhoñ se ye patte
jhukā hai gul kalī ke ruḳh pe saarī ḳhushbueñ le kar
bikhere zulf sūraj kī taraf chal dī hai ik badlī
havā aThkheliyāñ kartī hai ruk ruk kar daraḳhtoñ se
zamīñ ko āsmāñ ne le liyā apnī panāhoñ meñ
tum aa jaate agar ghar aaj jaldī
mujh ko bhī tum se zarūrī baat karnā thī
nili nili sham ki KHamoshiyon ke beach
kya sargoshiyan si karte hain shaKHon se ye patte
jhuka hai gul kali ke ruKH pe sari KHushbuen le kar
bikhere zulf suraj ki taraf chal di hai ek badli
hawa aThkheliyan karti hai ruk ruk kar daraKHton se
zamin ko aasman ne le liya apni panahon mein
tum aa jate agar ghar aaj jaldi
mujh ko bhi tum se zaruri baat karna thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.