mahatma gandhi
maqām-e-azmat-e-insāñ ko tū ne faash kiyā
jumūd-basta ġhulāmī ko pāsh-pāsh kiyā
hayāt-e-sub.h-e-mohabbat ke nuur meñ gum hai
ajiib chiiz tirā dil-kushā tabassum hai
ye jabr-o-qahr ke bande ye shor-o-shar ke ġhulām
na pā sakeñge tirī zindagī kī ramz-e-davām
diyā hai sulh-o-musāvāt kā sabaq tū ne
atā kiyā hai junūñ ko nayā ufuq tū ne
fanā-kade ko banāyā hai jannat-e-gul-posh
ravāñ-davāñ haiñ jahāñ nīl-o-gang dosh-ba-dosh
ye mo.ajiza hai tire zauq-e-tāza-kārī kā
ki sar-nigūñ hai far-o-fāl shahryārī kā
nahīñ hai tere sivā koī rāzdān-e-vatan
tujhī se fā.ez-e-manzil hai kārvān-e-vatan
vafā ke raag mohabbat kī aag le ke gayā
tū apne saath vatan kā suhāg le ke gayā
sitam se rūh-e-sadāqat kabhī na hāregī
nigāh-e-ishq tujhe tā-abad pukāregī
maqam-e-azmat-e-insan ko tu ne fash kiya
jumud-basta ghulami ko pash-pash kiya
hayat-e-subh-e-mohabbat ke nur mein gum hai
ajib chiz tera dil-kusha tabassum hai
ye jabr-o-qahr ke bande ye shor-o-shar ke ghulam
na pa sakenge teri zindagi ki ramz-e-dawam
diya hai sulh-o-musawat ka sabaq tu ne
ata kiya hai junun ko naya ufuq tu ne
fana-kade ko banaya hai jannat-e-gul-posh
rawan-dawan hain jahan nil-o-gang dosh-ba-dosh
ye moajiza hai tere zauq-e-taza-kari ka
ki sar-nigun hai far-o-fal shahryari ka
nahin hai tere siwa koi raazdan-e-watan
tujhi se faez-e-manzil hai karwan-e-watan
wafa ke rag mohabbat ki aag le ke gaya
tu apne sath watan ka suhag le ke gaya
sitam se ruh-e-sadaqat kabhi na haaregi
nigah-e-ishq tujhe ta-abad pukaregi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.