23-march azan-e-subh-e-niyaz
vo kyā navā thī
ki jis kī lau se
ufuq raushnī ke manzar sañvar ga.e the
bahār-e-āsār-e-lahn kyā thā
ki ḳhushk shāḳhoñ ke zard chehre
gulāb-rañgoñ se dhul ga.e the
kalī kalī ke gudāz shānoñ par ḳhushbuoñ ke latīf parcham
na.e saveroñ se āshnā.ī ko khil ga.e the
vahī navā Dūbtī shaboñ meñ
azān-e-sub.h-e-niyāz ban kar
havā ke hoñToñ pe kheltī jab diloñ meñ utrī
to jism kī sarhadoñ ke us paar munjamid tīrgī kī shāḳhoñ par
raushnī ke gulāb ubhre
kiran kiran āftāb ubhre
wo kya nawa thi
ki jis ki lau se
ufuq raushni ke manzar sanwar gae the
bahaar-e-asar-e-lahn kya tha
ki KHushk shaKHon ke zard chehre
gulab-rangon se dhul gae the
kali kali ke gudaz shanon par KHushbuon ke latif parcham
nae saweron se aashnai ko khil gae the
wahi nawa Dubti shabon mein
azan-e-subh-e-niyaz ban kar
hawa ke honTon pe khelti jab dilon mein utri
to jism ki sarhadon ke us par munjamid tirgi ki shaKHon par
raushni ke gulab ubhre
kiran kiran aaftab ubhre
- Book : Pakistani Adab (Pg. 90)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.