27 december
ufuq pe duur koī chāñd jagmagā uTThā
na.e libās meñ ik jism muskurā uTThā
chamak uThīñ haiñ na.e manzaroñ meñ kuchh shakleñ
sajī huī haiñ kuchh hoñToñ pe qahqahoñ kī safeñ
mahakte pairahnoñ ke hisār meñ koī
kisī kī narm hathelī meñ rang bhartā hai
havā.eñ ḳhushbueñ phailā rahī haiñ chāroñ taraf
bulandiyoñ pe ka.ī chāñd muskurāte haiñ
sabhī guzarte hue lamhe gungunāte haiñ
tamām rāste haiñ raushnī meñ Duube hue
yahāñ se duur magar ik maqām aisā hai
ki jahāñ
sukūn-e-shab kī asīrī meñ ek sūraj hai
jo tīrgī kī salāḳhoñ se sar Tikā.e hue
sabhī badalte hue manzaroñ pe hañstā hai
ufuq pe dur koi chand jagmaga uTTha
nae libas mein ek jism muskura uTTha
chamak uThin hain nae manzaron mein kuchh shaklen
saji hui hain kuchh honTon pe qahqahon ki safen
mahakte pairahnon ke hisar mein koi
kisi ki narm hatheli mein rang bharta hai
hawaen KHushbuen phaila rahi hain chaaron taraf
bulandiyon pe kai chand muskuraate hain
sabhi guzarte hue lamhe gungunate hain
tamam raste hain raushni mein Dube hue
yahan se dur magar ek maqam aisa hai
ki jahan
sukun-e-shab ki asiri mein ek suraj hai
jo tirgi ki salaKHon se sar Tikae hue
sabhi badalte hue manzaron pe hansta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.