saut-e-nadida
niiñd palkoñ ke sā.ebāñ meñ nahīñ
tā.ir-e-ḳhvāb kar gayā parvāz
vādī-e-chashm ke ufuq se pare
aañkh mahv-e-tasavvurāt-e-husain
ek halchal sī zehn-o-dil meñ machī
aur nazar ik maqām Tiktī nahīñ
ḳhushbuoñ ke hisār-e-gardish meñ
hai samā.at kuchh is qadar hassās
aañkh kī putliyoñ ke thāme haath
dauḌtī hai udhar se us jānib
ek lamha use qarār nahīñ
ek manzar pe e.atibār nahīñ
nind palkon ke saeban mein nahin
tair-e-KHwab kar gaya parwaz
wadi-e-chashm ke ufuq se pare
aankh mahw-e-tasawwuraat-e-husain
ek halchal si zehn-o-dil mein machi
aur nazar ek maqam Tikti nahin
KHushbuon ke hisar-e-gardish mein
hai samaat kuchh is qadar hassas
aankh ki putliyon ke thame hath
dauDti hai udhar se us jaanib
ek lamha use qarar nahin
ek manzar pe eatibar nahin
- Book : Seepiyon Ki Qaid men
- Author : Yaqoob Tasawwur
- Publication : Yaqoob Tasawwur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.