Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

intizar ke baad

Mushtaq Ali Shahid

intizar ke baad

Mushtaq Ali Shahid

MORE BYMushtaq Ali Shahid

    uñgliyoñ meñ dabī huī cigarette

    ek aur kash lene se pahle maiñ ne

    balcony meñ jhāñkā

    vo ab bhī nahīñ aayā thā

    kamre meñ chand saa.at ke liye

    be-his-o-harakat khaḌā rahnā

    ajiib lagā aur tab

    maiñ ne sulagtī huī cigarette ko

    jis ke abhī ka.ī aur kash liye sakte the

    chhoTī gol mez par burī tarah se masal Daalā

    dāyāñ haath tezī se ghūmā aur

    kāñch ḳhūbsūrat gilās mez se uchhal kar

    farsh par girā aur chaknā-chūr ho gayā

    aur us se pahle ki maiñ

    nokīlī kirchiyoñ ko chunñe cheshTā meñ

    apne bojhal sharīr ko kursī se uThātā

    vo achānak darvāza khol kar

    kamre meñ hāzir ho gayā

    pashemānī ke qatre

    merī jabīñ par saaf jhalak uThe the

    lekin mujhe mahsūs huā

    ki maiñ unheñ rūmāl meñ jazb kar lene jur.at bhī

    kho chukā thā

    ungliyon mein dabi hui cigarette ka

    ek aur kash lene se pahle main ne

    balcony mein jhanka

    wo ab bhi nahin aaya tha

    kamre mein chand saat ke liye

    be-his-o-harakat khaDa rahna

    ajib sa laga aur tab

    main ne sulagti hui cigarette ko

    jis ke abhi kai aur kash liye ja sakte the

    chhoTi si gol mez par buri tarah se masal Dala

    dayan hath tezi se ghuma aur

    kanch ka KHubsurat gilas mez se uchhal kar

    farsh par gira aur chakna-chur ho gaya

    aur us se pahle ki main

    nokili kirchiyon ko chunne ki cheshTa mein

    apne bojhal sharir ko kursi se uThata

    wo achanak darwaza khol kar

    kamre mein hazir ho gaya

    pashemani ke qatre

    meri jabin par saf jhalak uThe the

    lekin mujhe mahsus hua

    ki main unhen rumal mein jazb kar lene ki jurat bhi

    kho chuka tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now