(3) be-chehragi
apnī tārīḳh ke ahrāmoñ meñ utar kar dekheñ
azāb-e-musalsal kī ye fasl
hamāre paas tārīḳh kī nishānī hai
yā surḳh siyāhī se hamārī na.ī tārīḳh likhī jā rahī hai
vo āñkheñ, vo hāth, vo chehre
ab kaun DhūñDe...?
jinhoñ ne hādsoñ ko yahāñ chalnā sikhāyā
agar vo mil bhī jaa.eñ...
to unheñ kaun pahchānegā?
unhoñ ne to apne chehre sab meñ baañT diye
ab to har taraf ek jaise hī chehre haiñ
har koī be-chehra hai
yahāñ to bas ek hī vaqt aa ke Thahrā hai
ḳhasāroñ kā kaḌā pahra hai
magar mumkin hia...
be-chehragī ke azaab ke us paar
ham sab ke chehre qaid hoñ
jis din sab ko apne chehre mil ga.e
to dil bhī mil jā.eñge
apni tariKH ke ahramon mein utar kar dekhen
azab-e-musalsal ki ye fasl
hamare pas tariKH ki nishani hai
ya surKH siyahi se hamari nai tariKH likhi ja rahi hai
wo aankhen, wo hath, wo chehre
ab kaun DhunDe?
jinhon ne hadson ko yahan chalna sikhaya
agar wo mil bhi jaen
to unhen kaun pahchanega?
unhon ne to apne chehre sab mein banT diye
ab to har taraf ek jaise hi chehre hain
har koi be-chehra hai
yahan to bas ek hi waqt aa ke Thahra hai
KHasaron ka kaDa pahra hai
magar mumkin hia
be-chehragi ke azab ke us par
hum sab ke chehre qaid hon
jis din sab ko apne chehre mil gae
to dil bhi mil jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.