ek raat safed gulabon wale talab ke pas
vo ek shab thī safed gulāboñ vaale tālāb ke bilkul nazdīk
bādaloñ kī pahlī aahaT par
us ne rakh diye hoñT hoñToñ par
mausīqī kī titlī giit gaane lagī
us ke sāñsoñ ke ās-pās
us kī ḳhushbuoñ ke ghuñghrū
baj rahe the us shab
huā kī safed gulābī chhatoñ par
vo umaD rahī thī
ek tez samundarī lahr kī tarah
vo jism par naqsh ho rahī thī
titliyoñ se bhare hue ek ḳhvāb kī tarah
vo ek shab safed gulāboñ vaale tālāb ke bilkul nazdīk
shab-bhar bādaloñ kī halkī aur tez āhaTeñ
aur shab-bhar
hoñT hoñToñ par
saañs sāñsoñ par
aur jism jism kī safed gulābī chhatoñ par
wo ek shab thi safed gulabon wale talab ke bilkul nazdik
baadalon ki pahli aahaT par
us ne rakh diye honT honTon par
mausiqi ki titli git gane lagi
us ke sanson ke aas-pas
us ki KHushbuon ke ghunghru
baj rahe the us shab
hua ki safed gulabi chhaton par
wo umaD rahi thi
ek tez samundari lahr ki tarah
wo jism par naqsh ho rahi thi
titliyon se bhare hue ek KHwab ki tarah
wo ek shab safed gulabon wale talab ke bilkul nazdik
shab-bhar baadalon ki halki aur tez aahaTen
aur shab-bhar
honT honTon par
sans sanson par
aur jism jism ki safed gulabi chhaton par
- Book : Prindey,phool taalab (Pg. 437)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.