band kamra
dekho pardoñ ko achchhī tarah khīñch duur
aur sab khiḌkiyāñ band kar do
aur us band kamre se bāhar niklo
us meñ bosīda sofoñ pe ik moTā kapḌā chaḌhā kar
tum ne un ko is andāz se rakh diyā hai
ki ab daa.eñ kone meñ
ukhḌī safedī pe sīlan ke dhabbe
kam-o-besh nazroñ se poshīda haiñ
aur baa.eñ taraf
TuuTe Dibboñ
purāne ḳhatoñ
zañg-ālūd TuuTī paleToñ
aur bosīda pinjroñ ke ik Dher ko
tum ne ik lambī chauḌī sī chādar se
achchhī tarah Dhak diyā hai
aur ab baaqī kamra
baḌā sāf-suthrā nazar aa rahā hai
dekho TuuTī huī carnas ko bhī
ik shoḳh kapḌe se Dhak kar
us par vo zar-sham.eñ jalā do
ki jin kī sisaktī huī raushnī meñ
tumhāre ḳhad-o-ḳhāl ma.alūm hote haiñ mauzūñ
aur kone meñ rakhe hue
chhoTe recordplayer par havā disk rakh do
ki jis meñ purānī sī ek lai meñ
bas chand lafzoñ kī takrār hai
dekho us band kamre se bāhar na niklo
kabhī bhuul kar bhī
barābar ke kamre meñ hargiz na jaao
kyuuñ ki vo sāl-hā-sāl se band hai
ye bhī mumkin hai
zahrīle kīḌe-makoḌe vahāñ pal rahe hoñ
ye bhī mumkin hai
ab tak vo bhūtoñ kā ghar ban chukā hai
dekho us band kamre se bāhar na niklo
kyuuñ ki mumkin hai ab tak
vo zaḳhmī barahna band
baaġh ke ek goshe meñ dam toḌte hoñ
haañ agar ho sake to kisī se kaho
un ke ḳhūñ-gashta jismoñ pe
zartār lafzoñ kī poshāk Dhak kar
un ko bāhar paḌī kursiyoñ par biThā de
tā ki us raah se koī guzre
to kah de ki sab Thiik hai
tum magar phir bhī sab khiḌkiyāñ band rakho
aur pardoñ ko achchhī tarah khīñch do
aur us band kamre se bāhar na niklo
dekho us band kamre se bāhar na niklo
dekho pardon ko achchhi tarah khinch dur
aur sab khiDkiyan band kar do
aur us band kamre se bahar niklo
us mein bosida sofon pe ek moTa kapDa chaDha kar
tum ne un ko is andaz se rakh diya hai
ki ab daen kone mein
ukhDi safedi pe silan ke dhabbe
kam-o-besh nazron se poshida hain
aur baen taraf
TuTe Dibbon
purane KHaton
zang-alud TuTi paleTon
aur bosida pinjron ke ek Dher ko
tum ne ek lambi chauDi si chadar se
achchhi tarah Dhak diya hai
aur ab baqi kamra
baDa saf-suthra nazar aa raha hai
dekho TuTi hui carnas ko bhi
ek shoKH kapDe se Dhak kar
us par wo zar-shamen jala do
ki jin ki sisakti hui raushni mein
tumhaare KHad-o-KHal malum hote hain mauzun
aur kone mein rakhe hue
chhoTe recordplayer par hawa disk rakh do
ki jis mein purani si ek lai mein
bas chand lafzon ki takrar hai
dekho us band kamre se bahar na niklo
kabhi bhul kar bhi
barabar ke kamre mein hargiz na jao
kyun ki wo sal-ha-sal se band hai
ye bhi mumkin hai
zahrile kiDe-makoDe wahan pal rahe hon
ye bhi mumkin hai
ab tak wo bhuton ka ghar ban chuka hai
dekho us band kamre se bahar na niklo
kyun ki mumkin hai ab tak
wo zaKHmi barahna band
bagh ke ek goshe mein dam toDte hon
han agar ho sake to kisi se kaho
un ke KHun-gashta jismon pe
zartar lafzon ki poshak Dhak kar
un ko bahar paDi kursiyon par biTha de
ta ki us rah se koi guzre
to kah de ki sab Thik hai
tum magar phir bhi sab khiDkiyan band rakho
aur pardon ko achchhi tarah khinch do
aur us band kamre se bahar na niklo
dekho us band kamre se bahar na niklo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.