azab-e-hijr
ye tere hijr kī āñdhī
kahāñ le aa.ī hai mujh ko
yahāñ har samt ik sūraj
savā neze pe jaltā hai
na sar se dhuup utartī hai
na saaya koī Dhaltā hai
havā-e-shām chaltī hai
na koī sham.a jaltī hai
falak par najm aate haiñ
na to mahtāb aatā hai
kisī kī aañkh sotī hai
na koī ḳhvāb aatā hai
ye tere hijr ki aandhi
kahan le aai hai mujh ko
yahan har samt ek suraj
sawa neze pe jalta hai
na sar se dhup utarti hai
na saya koi Dhalta hai
hawa-e-sham chalti hai
na koi shama jalti hai
falak par najm aate hain
na to mahtab aata hai
kisi ki aankh soti hai
na koi KHwab aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.