hijr ke par bhig jaen
kahāñ tak ḳhema-e-dil meñ chhupā.eñ
apnī aasoñ aur pyāsoñ ko
kahāñ tak ḳhauf ke be-shakl sahrā kī hathelī par
kurede jaa.eñ āñkheñ aur
lakīreñ raushnī kī phir na ban paa.eñ
ham insāñ ho ke bhī saa.e kī ḳhushbū ko taras jaa.eñ
chalo ik dūsre kī ḳhvāhishoñ kī dhuup meñ
jalte hue āñgan kī vīrānī meñ āñkheñ band kar leñ aur baras jaa.eñ
yahāñ tak TuuT kar barseñ ki paanī
vasl kī miTTī meñ ḳhushbū gūñdh le aur phir saroñ tak se guzar jaa.e
zamīn se āsmāñ tak ek hī manzar sañvar jaa.e
hamāre rāstoñ par āsmāñ apnī gavāhī bhej de
ḳhushbū bikhar jaa.e
zamīñ paañv ko chhū le
chāñdnī dil meñ utar jaa.e
havā gar hijr kī sāzish meñ hisse-dār ban kar darmiyāñ aa.e
hijr ke par bhiig jaa.eñ aur
havā paanī meñ mil jaa.e
kahan tak KHema-e-dil mein chhupaen
apni aason aur pyason ko
kahan tak KHauf ke be-shakl sahra ki hatheli par
kurede jaen aankhen aur
lakiren raushni ki phir na ban paen
hum insan ho ke bhi sae ki KHushbu ko taras jaen
chalo ek dusre ki KHwahishon ki dhup mein
jalte hue aangan ki virani mein aankhen band kar len aur baras jaen
yahan tak TuT kar barsen ki pani
wasl ki miTTi mein KHushbu gundh le aur phir saron tak se guzar jae
zamin se aasman tak ek hi manzar sanwar jae
hamare raston par aasman apni gawahi bhej de
KHushbu bikhar jae
zamin panw ko chhu le
chandni dil mein utar jae
hawa gar hijr ki sazish mein hisse-dar ban kar darmiyan aae
hijr ke par bhig jaen aur
hawa pani mein mil jae
- Book : Mohabbatein Jab Shumar Karna (Pg. 105)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.