Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hijr ki rakh aur visal ke phul

Faiz Ahmad Faiz

hijr ki rakh aur visal ke phul

Faiz Ahmad Faiz

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    aaj phir dard-o-ġham ke dhāge meñ

    ham piro kar tire ḳhayāl ke phuul

    tark-e-ulfat ke dasht se chun kar

    āshnā.ī ke maah o saal ke phuul

    terī dahlīz par sajā aa.e

    phir tirī yaad par chaḌhā aa.e

    bāñdh kar aarzū ke palle meñ

    hijr raakh aur visāl ke phuul

    The Flowers of Love-The Ashes of Parting

    aaj phir dard-o-gham ke dhage mein

    hum piro kar tere KHayal ke phul

    tark-e-ulfat ke dasht se chun kar

    aashnai ke mah o sal ke phul

    teri dahliz par saja aae

    phir teri yaad par chaDha aae

    bandh kar aarzu ke palle mein

    hijr ki rakh aur visal ke phul

    The Flowers of Love-The Ashes of Parting

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Faiz Ahmad Faiz

    Faiz Ahmad Faiz

    Zia Mohyeddin

    Zia Mohyeddin

    Source :
    • Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 706)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now