nisf hijr ke dayar se
havā ke hāthoñ meñ haath de kar
judā.iyoñ ke safar pe nikle the tum
magar kyuuñ
ruke hue ho
yaqīn-e-ḳhufta gumān-e-puḳhta ke pāniyoñ par
jahāñ pe avval mohabbatoñ ke kañval khile the
abhī vahīñ ho!
judā.iyoñ ke safar pe jā kar bhī ab talak tum
ga.e nahīñ ho!
chale bhī jaao
chale bhī jaao
ki gum-shuda zaat ke ḳhazīne kī kunjiyāñ DhūñDnī haiñ maiñ ne
sukūt-e-saut-o-sadā ke parde meñ tarz-e-guftār sīkhnī hai
nikal ke maujūda vaqt ke be-darīcha be-dar haveliyoñ se
mujhe mulāqāt sochnī hai
bahut sī be-nām ġhair mahdūd sā.atoñ kī saheliyoñ se
chale bhī jaao
bas is se pahle
ki mom-lamha pighal hī jaa.e
ki jabr āġhāz ho shaboñ kā
ki soch rasta badal hī jaa.e
chale bhī jaao
hawa ke hathon mein hath de kar
judaiyon ke safar pe nikle the tum
magar kyun
ruke hue ho
yaqin-e-KHufta guman-e-puKHta ke paniyon par
jahan pe awwal mohabbaton ke kanwal khile the
abhi wahin ho!
judaiyon ke safar pe ja kar bhi ab talak tum
gae nahin ho!
chale bhi jao
chale bhi jao
ki gum-shuda zat ke KHazine ki kunjiyan DhunDni hain main ne
sukut-e-saut-o-sada ke parde mein tarz-e-guftar sikhni hai
nikal ke maujuda waqt ke be-daricha be-dar haweliyon se
mujhe mulaqat sochni hai
bahut si be-nam ghair mahdud saaton ki saheliyon se
chale bhi jao
bas is se pahle
ki mom-lamha pighal hi jae
ki jabr aaghaz ho shabon ka
ki soch rasta badal hi jae
chale bhi jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.