azal-abad
apnā to abad hai kunj-e-marqad
jab jism supurd-e-ḳhāk ho jaa.e
marqad bhī nahīñ vo āḳhirī saañs
jab qissa-e-zīst paak ho jaa.e
vo saañs nahīñ shikast-e-ummīd
jab dāman-e-dil hī chaak ho jaa.e
ummīd nahīñ bas ek lamha
jo ātish-e-ġham se ḳhaak ho jaa.e
hastī kī abad-gah-e-qazā meñ
kuchh farq nahīñ fanā baqā meñ
ḳhākistar-e-ḳhvāb shola-e-ḳhvāb
ye apnā azal hai vo abad hai
vo shola to kab kā mar chukā hai
ye jism ik nāsh-e-be-lahad hai
martī hai hayāt lamha lamha
har saañs ik zindagī kī had hai
rūhoñ ko davām dene vaalo
jismoñ kī sabīl kuchh nikālo
shola koī musta.ār de do
yā laash ko ab mazār de do
apna to abad hai kunj-e-marqad
jab jism supurd-e-KHak ho jae
marqad bhi nahin wo aaKHiri sans
jab qissa-e-zist pak ho jae
wo sans nahin shikast-e-ummid
jab daman-e-dil hi chaak ho jae
ummid nahin bas ek lamha
jo aatish-e-gham se KHak ho jae
hasti ki abad-gah-e-qaza mein
kuchh farq nahin fana baqa mein
KHakistar-e-KHwab shola-e-KHwab
ye apna azal hai wo abad hai
wo shola to kab ka mar chuka hai
ye jism ek nash-e-be-lahad hai
marti hai hayat lamha lamha
har sans ek zindagi ki had hai
ruhon ko dawam dene walo
jismon ki sabil kuchh nikalo
shola koi mustaar de do
ya lash ko ab mazar de do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.