aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

raqib se!

Faiz Ahmad Faiz

raqib se!

Faiz Ahmad Faiz

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    Interesting Fact

    When Faiz was residing in Sialkot, in a house opposite to that of his, there lived a girl Faiz was in love with. One unfortunate day, on his return from college, Faiz discovered that the girl had left the city. Aagha Naasir writes that years later when Faiz, having risen to popular fame and appeal, revisited Sialkot, he had a serendipitous meeting with the same girl who happened to be visiting the city at the same time. Her husband was keen to meet Faiz. She urged Faiz to take note of her husband. This became an inspiration for 'Raqib Se!'.

    aa ki vābasta haiñ us husn yādeñ tujh se

    jis ne is dil ko parī-ḳhāna banā rakkhā thā

    jis ulfat meñ bhulā rakkhī thī duniyā ham ne

    dahr ko dahr afsāna banā rakkhā thā

    āshnā haiñ tire qadmoñ se vo rāheñ jin par

    us mad.hosh javānī ne ināyat hai

    kārvāñ guzre haiñ jin se usī rānā.ī ke

    jis in āñkhoñ ne be-sūd ibādat hai

    tujh se khelī haiñ vo mahbūb havā.eñ jin meñ

    us ke malbūs afsurda mahak baaqī hai

    tujh pe barsā hai usī baam se mahtāb nuur

    jis meñ biitī huī rātoñ kasak baaqī hai

    ne dekhī hai vo peshānī vo ruḳhsār vo hoñT

    zindagī jin ke tasavvur meñ luTā ham ne

    tujh pe uTThī haiñ vo khoī huī sāhir āñkheñ

    tujh ko ma.alūm hai kyuuñ umr gañvā ham ne

    ham pe mushtarka haiñ ehsān ġham-e-ulfat ke

    itne ehsān ki ginvā.ūñ to ginvā na sakūñ

    ham ne is ishq meñ kyā khoyā hai kyā sīkhā hai

    juz tire aur ko samjhā.ūñ to samjhā na sakūñ

    ājizī sīkhī ġharīboñ himāyat sīkhī

    yās-o-hirmān ke dukh-dard ke ma.anī sīkhe

    zer-dastoñ ke masā.ib ko samajhnā sīkhā

    sard aahoñ ke ruḳh-e-zard ke ma.anī sīkhe

    jab kahīñ baiTh ke rote haiñ vo bekas jin ke

    ashk āñkhoñ meñ bilakte hue so jaate haiñ

    nā-tavānoñ ke nivāloñ pe jhapaTte haiñ uqaab

    baazū tole hue mañDlāte hue aate haiñ

    jab kabhī biktā hai bāzār meñ mazdūr gosht

    shāh-rāhoñ pe ġharīboñ lahū bahtā hai

    aag siine meñ rah rah ke ubaltī hai na pūchh

    apne dil par mujhe qaabū nahīñ rahtā hai

    aa ki wabasta hain us husn ki yaaden tujh se

    jis ne is dil ko pari-KHana bana rakkha tha

    jis ki ulfat mein bhula rakkhi thi duniya hum ne

    dahr ko dahr ka afsana bana rakkha tha

    aashna hain tere qadmon se wo rahen jin par

    us ki madhosh jawani ne inayat ki hai

    karwan guzre hain jin se usi ranai ke

    jis ki in aankhon ne be-sud ibaadat ki hai

    tujh se kheli hain wo mahbub hawaen jin mein

    us ke malbus ki afsurda mahak baqi hai

    tujh pe barsa hai usi baam se mahtab ka nur

    jis mein biti hui raaton ki kasak baqi hai

    tu ne dekhi hai wo peshani wo ruKHsar wo honT

    zindagi jin ke tasawwur mein luTa di hum ne

    tujh pe uTThi hain wo khoi hui sahir aankhen

    tujh ko malum hai kyun umr ganwa di hum ne

    hum pe mushtarka hain ehsan gham-e-ulfat ke

    itne ehsan ki ginwaun to ginwa na sakun

    hum ne is ishq mein kya khoya hai kya sikha hai

    juz tere aur ko samjhaun to samjha na sakun

    aajizi sikhi gharibon ki himayat sikhi

    yas-o-hirman ke dukh-dard ke mani sikhe

    zer-daston ke masaib ko samajhna sikha

    sard aahon ke ruKH-e-zard ke mani sikhe

    jab kahin baiTh ke rote hain wo bekas jin ke

    ashk aankhon mein bilakte hue so jate hain

    na-tawanon ke niwalon pe jhapaTte hain uqab

    bazu tole hue manDlate hue aate hain

    jab kabhi bikta hai bazar mein mazdur ka gosht

    shah-rahon pe gharibon ka lahu bahta hai

    aag si sine mein rah rah ke ubalti hai na puchh

    apne dil par mujhe qabu hi nahin rahta hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Aqib Sabir

    Aqib Sabir

    Noor Jahan

    Noor Jahan

    RECITATIONS

    Hamida Chopra

    Hamida Chopra,

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Hamida Chopra

    raqiib se! Hamida Chopra

    Nomaan Shauque

    raqib se Nomaan Shauque

    Source:

    Nuskha Hai Wafa (Pg. 68)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now