saDak ban rahi hai
may ke mahīne kā mānūs manzar
ġharīboñ ke sāthī ye kañkar ye patthar
vahāñ shahr se ek hī miil haT kar
saḌak ban rahī hai
zamīñ par kudāloñ ko barsā rahe haiñ
pasīne pasīne hue jā rahe haiñ
magar is mashaqqat meñ bhī gā rahe haiñ
saḌak ban rahī hai
musībat hai koī masarrat nahīñ hai
unheñ sochne kī bhī fursat nahīñ hai
jamadār ko kuchh shikāyat nahīñ hai
saḌak ban rahī hai
javāñ naujavāñ aur ḳhamīda kamar bhī
fasurda jabīñ bhī bahisht-e-nazar bhī
vahīñ shām-e-ġham bhī jamāl-e-sahar bhī
saḌak bin rahī hai
jamadār saa.e meñ baiThā huā hai
kisī par use kuchh itaab aa gayā hai
kisī kī taraf dekh kar hañs rahā hai
saḌak ban rahī hai
ye be-bāk ulfat par alhaḌ ishāra
basantī se raamū to raamū se rādhā
jamadār bhī hai basantī kā shaidā
saḌak ban rahī hai
jo sar pe hai pagḌī to hāthoñ meñ hunter
chalā hai jamadār kis shaan se ghar
basantī bhī jaatī hai nazreñ bachā kar
saḌak ban rahī hai
samajhte haiñ lekin haiñ masrūr ab bhī
usī tarah gaate haiñ mazdūr ab bhī
bahar-hāl vaañ hasb-e-dastūr ab bhī
saḌak ban rahī hai
may ke mahine ka manus manzar
gharibon ke sathi ye kankar ye patthar
wahan shahr se ek hi mil haT kar
saDak ban rahi hai
zamin par kudalon ko barsa rahe hain
pasine pasine hue ja rahe hain
magar is mashaqqat mein bhi ga rahe hain
saDak ban rahi hai
musibat hai koi masarrat nahin hai
unhen sochne ki bhi fursat nahin hai
jamadar ko kuchh shikayat nahin hai
saDak ban rahi hai
jawan naujawan aur KHamida kamar bhi
fasurda jabin bhi bahisht-e-nazar bhi
wahin sham-e-gham bhi jamal-e-sahar bhi
saDak bin rahi hai
jamadar sae mein baiTha hua hai
kisi par use kuchh itab aa gaya hai
kisi ki taraf dekh kar hans raha hai
saDak ban rahi hai
ye be-bak ulfat par alhaD ishaara
basanti se ramu to ramu se radha
jamadar bhi hai basanti ka shaida
saDak ban rahi hai
jo sar pe hai pagDi to hathon mein hunter
chala hai jamadar kis shan se ghar
basanti bhi jati hai nazren bacha kar
saDak ban rahi hai
samajhte hain lekin hain masrur ab bhi
usi tarah gate hain mazdur ab bhi
bahar-haal wan hasb-e-dastur ab bhi
saDak ban rahi hai
- Book : Intikhab-e-Kalam Salam Machhli Shahri (Pg. 63)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.