Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tawaif

MORE BYMoin Ahsan Jazbi

    apnī fitrat bulandī pe mujhe naaz hai kab

    haañ tirī past-nigāhī se gila hai mujh ko

    girā degī mujhe apnī nazar se varna

    tere qadmoñ pe to sajda bhī ravā hai mujh ko

    ne har aan badaltī huī is duniyā meñ

    merī pā.indagi-e-ġham ko to dekhā hotā

    kaliyāñ be-zār haiñ shabnam ke talavvun se magar

    ne is dīda-e-pur-nam ko to dekhā hotā

    haa.e jaltī huī hasrat ye tirī āñkhoñ meñ

    kahīñ mil jaa.e mohabbat sahārā tujh ko

    apnī pastī bhī ehsās phir itnā ehsās

    ki nahīñ merī mohabbat bhī gavārā tujh ko

    aur ye zard se ruḳhsār ye ashkoñ qatār

    mujh se be-zār mirī arz-e-vafā se be-zār

    apni fitrat ki bulandi pe mujhe naz hai kab

    han teri past-nigahi se gila hai mujh ko

    tu gira degi mujhe apni nazar se warna

    tere qadmon pe to sajda bhi rawa hai mujh ko

    tu ne har aan badalti hui is duniya mein

    meri paindagi-e-gham ko to dekha hota

    kaliyan be-zar hain shabnam ke talawwun se magar

    tu ne is dida-e-pur-nam ko to dekha hota

    hae jalti hui hasrat ye teri aankhon mein

    kahin mil jae mohabbat ka sahaara tujh ko

    apni pasti ka bhi ehsas phir itna ehsas

    ki nahin meri mohabbat bhi gawara tujh ko

    aur ye zard se ruKHsar ye ashkon ki qatar

    mujh se be-zar meri arz-e-wafa se be-zar

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    tawaif Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now