usne mujhse kaha tha
malgajī arz-e-ġham zard sā āsmāñ
aur ufuq-tā-ufuq aur shafaq-dar-shafaq
surma.ī bādaloñ meñ udāsī ke rañg
us ke kamre ke māhaul meñ
ik malāl-āfrīñ kaifiyat
us kī nargis sī āñkhoñ meñ larzāñ hinā.ī
nishāñ
al-amāñ
is kā ġhuncha-dahan
adh-khule phuul sā
us ke ruḳhsār par
surḳhiyoñ kī phaban
aur burrāq hāthoñ pe rakhī huī zindagī
vo mirī zindagī
dard ke silsile
phuul afsurda kaliyāñ niDhāl
khañDaroñ kī misāl
baam ujḌe hue
hairatoñ ke safar
hijratoñ ke nagar
aur be-rañg afsurda pazhmurda atrāf kā shor-o-shar
us kī yādoñ ke dukh
us kī duurī ke ġham
nā-rasā.ī ke armān
aur karb kī dhuñd meñ
us kī hijrat ke dukh
maiñ jo palTūñ to maazī kī bezāriyāñ
baal khole hue mātamī rañg meñ par-fishāñ
ek barzaḳh kī vo raat thī
gūñjtī raat thī
jabki kamre meñ sab jam.a the
us ne mujh se kahā
chalo aaj bāhar kā mausam bahut dil-nashīñ hai
malgaji arz-e-gham zard sa aasman
aur ufuq-ta-ufuq aur shafaq-dar-shafaq
surmai baadalon mein udasi ke rang
us ke kamre ke mahaul mein
ek malal-afrin kaifiyat
us ki nargis si aankhon mein larzan hinai
nishan
al-aman
is ka ghuncha-dahan
adh-khule phul sa
us ke ruKHsar par
surKHiyon ki phaban
aur burraq hathon pe rakhi hui zindagi
wo meri zindagi
dard ke silsile
phul afsurda kaliyan niDhaal
khanDaron ki misal
baam ujDe hue
hairaton ke safar
hijraton ke nagar
aur be-rang afsurda pazhmurda atraf ka shor-o-shar
us ki yaadon ke dukh
us ki duri ke gham
na-rasai ke arman
aur karb ki dhund mein
us ki hijrat ke dukh
main jo palTun to mazi ki bezariyan
baal khole hue matami rang mein par-fishan
ek barzaKH ki wo raat thi
gunjti raat thi
jabki kamre mein sab jama the
us ne mujh se kaha
chalo aaj bahar ka mausam bahut dil-nashin hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 253)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.