nostalgia
phūl-patte aur jhāḌiyāñ
guzarte vaqt ko rok lete haiñ
pagDañDiyāñ
galiyāñ
purāne makān
āvāzeñ dene lagte haiñ
dhuup chāñdnī aur añdherā
par na.e dostoñ kī tarah bāteñ karte haiñ
ābā.ī qabristānoñ kī havā
in laḌkiyoñ kī payāmbar ban jaatī hai
jin se log hamesha ke liye mohabbat karte haiñ
baat kiye baġhair
chehroñ aur nāmoñ meñ farq karne kī ḳhvāhish
aañkh kī putlī par jam jaatī hai
aur ḳhushbū zā.iqe rañg
ragoñ meñ sarāyat kar jaate haiñ
ruke hue vaqt kī tāqat
palaT kar dekhne ke dardnāk amal ko ḳhūb-sūrat banā detī hai
aur zindagī ko
maut par ġhālib kartī hai
phul-patte aur jhaDiyan
guzarte waqt ko rok lete hain
pagDanDiyan
galiyan
purane makan
aawazen dene lagte hain
dhup chandni aur andhera
par nae doston ki tarah baaten karte hain
aabai qabristanon ki hawa
in laDkiyon ki payambar ban jati hai
jin se log hamesha ke liye mohabbat karte hain
baat kiye baghair
chehron aur namon mein farq karne ki KHwahish
aankh ki putli par jam jati hai
aur KHushbu zaiqe rang
ragon mein sarayat kar jate hain
ruke hue waqt ki taqat
palaT kar dekhne ke dardnak amal ko KHub-surat bana deti hai
aur zindagi ko
maut par ghaalib karti hai
- Book : Duniyazad (Pg. 164)
- Author : Asif Farrakhi
- Publication : AG Printing Services Karachi (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.